عَنْ أَبِي الْعَنْبَسِ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَلَّى عَلَى جِنَازَةٍ فَكَبَّرَ عَلَيْهَا أَرْبَعًا ، وَسَلَّمَ تَسْلِيمَةً .
التَّسْلِيمَةُ الْوَاحِدَةُ عَلَى الْجِنَازَةِ قَدْ صَحَّتِ الرِّوَايَةُ فِيهِ ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ ، وَعَبْدِ اللهِ بْنِ عُمَرَ ، وَعَبْدِ اللهِ بْنِ عَبَّاسٍ ، وَجَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ أَبِي أَوْفَى ، وَأَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّهُمْ كَانُوا يُسَلِّمُونَ عَلَى الْجِنَازَةِ تَسْلِيمَةً وَاحِدَةًٌّ
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne namaz-e-janaza padhaya to chaar takbeer kaha aur ek salam. Namaz-e-Janaza me sirf ek taraf salam pherne ke baare aur bhi bahut si riwayate hain.Hazrat Ali,Hazrat Abdullah bin Umar,Hazrat Abdullah Bin Abbas,Hazrat Jaabir aur Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anhum ke baare me aaya hai ki ye sab log janaza me sirf ek taraf salam pherte the.[Al-Mustadrak ,Hakim, Hadees No.1332]
عَنْ نَافِعٍ ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ ، أَنَّهُ كَانَ إذَا صَلَّى عَلَى الْجِنَازَةِ رَفَعَ يَدَيْهِ فَكَبَّرَ , فَإِذَا فَرَغَ سَلَّمَ عَلَى يَمِينِهِ وَاحِدَةً.
Tarjama: Hazrat Naafe bayan karte hain ki:Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma jab janaza ki namaz padhaate to apne dono haatho ko uthaate aur takbeer kahte phir jab faarig hote to sirf apne daaheni taraf salam pherte. [Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.11611]
عَنْ مُجَاهِدٍ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ، أَنَّهُ كَانَ يُسَلِّمُ عَلَى الْجِنَازَةِ تَسْلِيمَةً.
Tarajama:Hazrat Mujahid se riwayat hai ki Hazrat Ibne Abbas radhi Allaho anhuma janaza me ek salam kahte the.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.11613]
عَنْ عَلْقَمَةَ، وَالأَسْوَدِ، عَنِ ابْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ:خِلالٌ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَفْعَلُهُنَّ، تَرَكَهُنَّ النَّاسُ، إِحْدَاهُنَّ تَسْلِيمُ الإِمَامِ فِي الْجَنَازَةِ مِثْلَ تَسْلِيمِهِ فِي الصَّلاةِ.
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho farmaate hain ki 3 chizen aisi hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam kiya karte the,Lekin logo ne use karna chhor diya.Un me se ek,Namaz ke salam ki tarah janaza ki namaz me salam karna hai.[Al-Mo’jamul kabeer,Hadees No.9880]
عَنْ أَبِي مُوسَى , قَالَ:"صَلَّيْنَا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَى جَنَازَةٍ، فَسَلَّمَ عَنْ يَمِينِهِ وَعَنْ شِمَالِهِ
Tarjama:Hazrat Abu musa ash’ari radhi Allaho anho bayan farmate hain ki: Ham ne Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ke saath janaza ki namaz ada kiya to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne salam phera apne daaye taraf aur apne baaye taraf.[Al-Mo’jamul kabeer,Hadees No.1613. Al-Mo’jamul Ausat,Hadees No.4470]
عَنْ إِبْرَاهِيمَ الْهَجَرِىِّ قَالَ أَمَّنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِى أَوْفَى عَلَى جِنَازَةِ ابْنَتِهِ فَكَبَّرَ أَرْبَعًا فَمَكَثَ سَاعَةً حَتَّى ظَنَنَّا أَنَّهُ سَيُكَبِّرُ خَمْسًا ، ثُمَّ سَلَّمَ عَنْ يَمِينِهِ وَعَنْ شِمَالِهِ ، فَلَمَّا انْصَرَفَ قُلْنَا لَهُ : مَا هَذَا؟ فَقالَ : إِنِّى لاَ أَزِيدُكُمْ عَلَى مَا رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَصْنَعُ أَوْ هَكَذَا صَنَعَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم-
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Aufa radhi Allaho anho ne apni beti ki namaz-e-janaza padhaya to chaar takbeer kahi,Phir thori der ruke yahan tak ki ham ne guman kiya ki woh 5wi takbeer kahenge lekin phir unho ne salam phera daaye taraf aur baaye taraf.Phir jab faarig hue to ham logo ne kaha ki ye kya hai? To farmaya ki: Main ne kuchh bhi ziyadah nahi kiya us se jo main ne Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ko karte dekha.[Sunanul kubra baihaqi, Hadees No.7238]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat