Gustaakhon Ki Pahchaan



حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ أَبِي نُعْمٍ قَالَ سَمِعْتُ أَبَا سَعِيدٍ الْخُدْرِيَّ يَقُولُ بَعَثَ عَلِيُّ بْنُ أَبِي طَالِبٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنْ الْيَمَنِ بِذُهَيْبَةٍ فِي أَدِيمٍ مَقْرُوظٍ لَمْ تُحَصَّلْ مِنْ تُرَابِهَا قَالَ فَقَسَمَهَا بَيْنَ أَرْبَعَةِ نَفَرٍ بَيْنَ عُيَيْنَةَ بْنِ بَدْرٍ وَأَقْرَعَ بْنِ حابِسٍ وَزَيْدِ الْخَيْلِ وَالرَّابِعُ إِمَّا عَلْقَمَةُ وَإِمَّا عَامِرُ بْنُ الطُّفَيْلِ فَقَالَ رَجُلٌ مِنْ أَصْحَابِهِ كُنَّا نَحْنُ أَحَقَّ بِهَذَا مِنْ هَؤُلَاءِ قَالَ فَبَلَغَ ذَلِكَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ أَلَا تَأْمَنُونِي وَأَنَا أَمِينُ مَنْ فِي السَّمَاءِ يَأْتِينِي خَبَرُ السَّمَاءِ صَبَاحًا وَمَسَاءً قَالَ فَقَامَ رَجُلٌ غَائِرُ الْعَيْنَيْنِ مُشْرِفُ الْوَجْنَتَيْنِ نَاشِزُ الْجَبْهَةِ كَثُّ اللِّحْيَةِ مَحْلُوقُ الرَّأْسِ مُشَمَّرُ الْإِزَارِ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ اتَّقِ اللَّهَ قَالَ وَيْلَكَ أَوَلَسْتُ أَحَقَّ أَهْلِ الْأَرْضِ أَنْ يَتَّقِيَ اللَّهَ قَالَ ثُمَّ وَلَّى الرَّجُلُ قَالَ خَالِدُ بْنُ الْوَلِيدِ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَلَا أَضْرِبُ عُنُقَهُ قَالَ لَا لَعَلَّهُ أَنْ يَكُونَ يُصَلِّي فَقَالَ خَالِدٌ وَكَمْ مِنْ مُصَلٍّ يَقُولُ بِلِسَانِهِ مَا لَيْسَ فِي قَلْبِهِ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنِّي لَمْ أُومَرْ أَنْ أَنْقُبَ عَنْ قُلُوبِ النَّاسِ وَلَا أَشُقَّ بُطُونَهُمْ قَالَ ثُمَّ نَظَرَ إِلَيْهِ وَهُوَ مُقَفٍّ فَقَالَ إِنَّهُ يَخْرُجُ مِنْ ضِئْضِئِ هَذَا قَوْمٌ يَتْلُونَ كِتَابَ اللَّهِ رَطْبًا لَا يُجَاوِزُ حَنَاجِرَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنْ الدِّينِ كَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنْ الرَّمِيَّةِ وَأَظُنُّهُ قَالَ لَئِنْ أَدْرَكْتُهُمْ لَأَقْتُلَنَّهُمْ قَتْلَ ثَمُودَ. [وفی روایۃ ابی داؤد]يَقْتُلُونَ أَهْلَ الإِسْلاَمِ وَيَدَعُونَ أَهْلَ الأَوْثَانِ لَئِنْ أَنَا أَدْرَكْتُهُمْ قَتَلْتُهُمْ قَتْلَ عَادٍ ».

Tarjama:Hazrat Abu Saeed khudri radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Hazrat Ali radhi Allaho anho ne Yaman se Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ki khidmat me chamde ke thaile me kuchh sona bhar kar bheja jis se abhi mitti bhi saaf nahi kiya gaya tha.Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne woh sona 4 logo Uainiya bin badar,Aqra bin Habis,Zaid bin Khail,Chauthe Alqama ya Aamir bin Tufail me baant diya,Is par sahaba me se ek ne kaha ki: In logo se ziyadah haqdaar to ham the.Jab ye baat Huzur Sallallahu alaihe wasallam tak pahunchi to Aap ne farmaya:Kya tum log mujhe Ameen nahi samajhte? Jab ki Aasmaan walo ke nazdik to main Ameen hun.Uski khabre to mere paas subah-o-shaam aati rahti hai.Raawi bayan karte hain ki:Phir ek Aadmi khada hua,Jiski aankhe andar ko dhansi hui,Chehre ki haddi ubhri hui,Unchi peshani,Ghani daarhi,Sar monad hua aur Uncha tehband baandhe hua tha.Woh kahne laga Aye Allah ke Rasool! Allah se dariye.Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Tu halaak ho.Kya main tamam zameen walo se ziyadah Allah se darne ka haqdaar nahi hun?Phir jab woh aadmi jaane ke liye palta,To Hazrat Khaalid bin Waleed ne kaha: Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Kya main is shakhs ki gardan na uraa dun? Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Aisa nahi karo,Shaayad ye namaazi ho.Hazrat Khaalid bin Waleed ne arz kiya: Bahut se namaz padhne wale bhi to aise hain jo unki zuban par hota hai woh dil me nahi hota.Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Mujhe ye hukm nahi diya gaya hai ki main logo ke dil ko cheer kar dekhun.Raawi ka bayan hai ki: (Us Gustaakhi karne wale shakhs) ki taraf Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne dekha aur farmaya:Iski nasal se aise log paida honge jo Quran se apni zuban ko tar rakhenge,Lekin Quran unke halq se niche nahi utrega,Deen se aise nikal jaayenge jaise Teer shikaar se paar nikal jaata hai. Raawi kahte hain:Mera khayaal hai ki Aap Sallallahu alaihe wasallam ne ye bhi farmaya: Agar main un logo ko paa jaaun to Qaum-e-Samood ki tarah unhe qatal kar dun.Aur Sunan Abi Dawood ki Riwayat me ye bhi hai ki:Woh log musalmano ko qatak karenge aur Buton ko pujne wale ko chhornge.[Sahih Bukhari,Hadees No.4351.Abu Dawood, Hadees No.4763]

أَخْبَرَنِي أَبُو سَلَمَةَ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ أَنَّ أَبَا سَعِيدٍ الْخُدْرِيَّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ بَيْنَمَا نَحْنُ عِنْدَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ يَقْسِمُ قِسْمًا أَتَاهُ ذُو الْخُوَيْصِرَةِ وَهُوَ رَجُلٌ مِنْ بَنِي تَمِيمٍ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ اعْدِلْ فَقَالَ وَيْلَكَ وَمَنْ يَعْدِلُ إِذَا لَمْ أَعْدِلْ قَدْ خِبْتَ وَخَسِرْتَ إِنْ لَمْ أَكُنْ أَعْدِلُ فَقَالَ عُمَرُ يَا رَسُولَ اللَّهِ ائْذَنْ لِي فِيهِ فَأَضْرِبَ عُنُقَهُ فَقَالَ دَعْهُ فَإِنَّ لَهُ أَصْحَابًا يَحْقِرُ أَحَدُكُمْ صَلَاتَهُ مَعَ صَلَاتِهِمْ وَصِيَامَهُ مَعَ صِيَامِهِمْ يَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنْ الدِّينِ كَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنْ الرَّمِيَّةِ.

Tarjama: Hazrat Abu Saeed Khudri radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallahu alaihe wasallam Ganimat ka maal taqseem kar rahe the ki Abdullah bin Zul-khowaisara tamimi aaya aur kahne laga:Aye Allah ke Rasool! Insaaf se taqseem kijiye.Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya tere liye barbaadi ho,Agar main insaaf nahi karunga to aur kaun insaaf karega? Hazrat Umar radhi Allaho anho ne kaha ki:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Ijaazat dijiye ki main iski gardan uraa dun,Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki:Rahne do.Iske kuchh saathi aise honge ki inki namazo aur Rozo ke muqaable me tum apni namazo aur rozo ko haqeer samjhoge.Lekin woh log deen se is tarah nikal jaayenge Jaise teer nishaane se paar nikal jaata hai.[Sahih Bukhari, Hadees No.3610&6933.Sahih Muslim,Hadees No.1064]

عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا أَنَّ رَجُلًا قَالَ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنَّ أُمَّهُ تُوُفِّيَتْ أَيَنْفَعُهَا إِنْ تَصَدَّقْتُ عَنْهَا قَالَ نَعَمْ قَالَ فَإِنَّ لِي مِخْرَافًا وَأُشْهِدُكَ أَنِّي قَدْ تَصَدَّقْتُ بِهِ عَنْهَا.

Tarajama: Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma se riwayat hai ki:Ek shakhs ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Meri walida inteqaal kar chuki hai, Agar main unki taraf se sadqa dun to kya woh use faaida dega?Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Haan,Usne kaha:Mere paas ek baag hai,Aap gawaah rahe main ne ye baag unki taraf se sadqa kar diya.[Sahih Bukhari,2770. Tirmizi,Hadees No.669. Abu Dawood,Hadees No.2882. Nisaayi,Hadees No.3655]

عَنْ سُوَيْدِ بْنِ غَفَلَةَ قَالَ قَالَ عَلِيٌّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ إِذَا حَدَّثْتُكُمْ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَلَأَنْ أَخِرَّ مِنْ السَّمَاءِ أَحَبُّ إِلَيَّ مِنْ أَنْ أَكْذِبَ عَلَيْهِ وَإِذَا حَدَّثْتُكُمْ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ فَإِنَّ الْحَرْبَ خَدْعَةٌ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ يَأْتِي فِي آخِرِ الزَّمَانِ قَوْمٌ حُدَثَاءُ الْأَسْنَانِ سُفَهَاءُ الْأَحْلَامِ يَقُولُونَ مِنْ خَيْرِ قَوْلِ الْبَرِيَّةِ يَمْرُقُونَ مِنْ الْإِسْلَامِ كَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنْ الرَّمِيَّةِ لَا يُجَاوِزُ إِيمَانُهُمْ حَنَاجِرَهُمْ فَأَيْنَمَا لَقِيتُمُوهُمْ فَاقْتُلُوهُمْ فَإِنَّ قَتْلَهُمْ أَجْرٌ لِمَنْ قَتَلَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ.

Tarjama:Hazrat Suweed bin Gafla ne bayan kiya ki Hazrat Ali radhi Allaho anho ne kaha,Jab tum se koi baat Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ke hewaale se main bayan karun to ye samjho ki mere liye Aasmaan se gir jaana is se behtar hai ki main Aap Sallallahu alaihe wasallam par koi jhoot baandhun,Albatta jab main apni taraf se koi baat tum se kahun,To ladaayi tadbeer aur fareeb hi ka naam hai.Dekho!Main ne Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ko farmaate hue suna ki:Aakheri zamaane me aise log zaahir honge jo kam-umar,Aqal se khaali honge,Woh makhlooq me sab se behtar ki baate bayan karenge (Yani hadees bayan karenge) magar Islam se aise nikal jaayenge jaise teer shikaar se nikal jaata hai.Imaan unke halq se niche nahi utrega,Tum unhe jahan kahen paao to qatal kar dena kyunki unko qatal karne walo ko qayamat ke din bada sawab milega.[Sahih Bukhari,Hadees No.3611,Sahih Muslim,Hadees No.1066.Tirmizi, Hadees No.2188.Nisaayi,Hadees No.4102.Ibn-e-Majah,Hadees No.168]

عَنْ أَبِى سَعِيدٍ الْخُدْرِىِّ وَأَنَسِ بْنِ مَالِكٍ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : « سَيَكُونُ فِى أُمَّتِى اخْتِلاَفٌ وَفُرْقَةٌ قَوْمٌ يُحْسِنُونَ الْقِيلَ وَيُسِيئُونَ الْفِعْلَ وَيَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ لاَ يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّينِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ لاَ يَرْجِعُونَ حَتَّى يَرْتَدَّ عَلَى فُوقِهِ هُمْ شَرُّ الْخَلْقِ وَالْخَلِيقَةِ طُوبَى لِمَنْ قَتَلَهُمْ وَقَتَلُوهُ يَدْعُونَ إِلَى كِتَابِ اللَّهِ وَلَيْسُوا مِنْهُ فِى شَىْءٍ مَنْ قَاتَلَهُمْ كَانَ أَوْلَى بِاللَّهِ مِنْهُمْ ». قَالُوا : يَا رَسُولَ اللَّهِ مَا سِيمَاهُمْ قَالَ : « التَّحْلِيقُ ».

Tarjama: Hazrat Abu Saeed khudri aur Hazrat Anas bin Malik Radhi Allahu anhuma se riwayat hai ki:Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki:Anqareeb meri ummat me ekhtilaaf aur firqa-baazi hogi.Ek qaum aisi hogi ki woh baat ke achchhe aur kirdaar ke bure honge,Quran padhenge jo unke gale se nahi utrega,Woh deen se aise nikal jaayenge jaise teer shikaar se nikal jaata hai,Aur Woh waapas nahi aayenge jab tak ki teer kamaan me wapas na aa-jaae.Woh log saari makhlooq me sab se bure honge,Khush-khabri ho use jo unhe qatal karenge aur jise who qatal karenge.Woh Allah ki kitaab ki taraf bulaayenge lekin uske saath unka koi ta’lluq nahi hoga.Unka qaatil unki ba-nisbat Allah Ta’ala ke ziyadah qareeb hoga.Sahaba ne arz kiya:Ya Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam! Unki nishaani kya hai? Farmaya:Sar-mondaana.[Abu Dawood,Hadees No.4765]

عَنْ حُذَيْفَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِنَّمَا أَتَخَوَّفُ عَلَيْكُمْ رَجُلاً قَرَأَ الْقُرْآنَ حَتَّى إِذَا رُئِيَ عَلَيْهِ بَهْجَتُهُ ، وَكَانَ رِدْءًا لِلإِسْلاَمِ اعْتَزَلَ إِلَى مَا شَاءَ اللَّهُ ، وَخَرَجَ عَلَى جَارِهِ بِسَيْفِهِ ، وَرَمَاهُ بِالشِّرْكِ.وَهَذَا الْحَدِيثُ بِهَذَا اللَّفْظِ لاَ نَعْلَمُهُ يُرْوَى إِلاَّ عَنْ حُذَيْفَةَ بِهَذَا الإِسْنَادِ ، وَإِسْنَادُهُ حَسَنٌ.

Tarjama:Hazrat Huzaifa radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Beshak jis chiz ka mujhe tum par dar hai woh ek aisa aadmi hai jis ne Quran padha yahan tak ki jab us par Quran ka Jamaal dekha gaya aur woh us waqt tak jab tak Allah ne chaaha Islam ki khaatir dusaro ki madad bhi karta raha,Phir woh us Quran se door ho gaya aur apne padosi par talwaar le kar chadh daura aur us par shirk ka ilzaam laga diya.[Musnad Al-Bazzar,Vol:7,Page:220,Awwal-o-Musnade Huzaifa,Jundub bin Abdullah An Huzaifa,Hadees No.2793]

وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ يَرَاهُمْ شِرَارَ خَلْقِ اللَّهِ وَقَالَ إِنَّهُمْ انْطَلَقُوا إِلَى آيَاتٍ نَزَلَتْ فِي الْكُفَّارِ فَجَعَلُوهَا عَلَى الْمُؤْمِنِينَ.

Tarjama: Imam Bukhari ne baab ke unwaan ke taur par ye hadees riwayat ki: Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma un (Khaarji logo) ko Allah Ta’ala ki bad-tareen makhlooq samajhte the(Kyunki)Woh log un aayato ko jo kaafiro ke baare me naazil hui,Musalmano par chispa karte the.[Bukhari,Kitab Istetaabatul Murtadden….]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran