Murde Bolte Sunte Hain



حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ حَدَّثَنَا اللَّيْثُ حَدَّثَنَا سَعِيدٌ عَنْ أَبِيهِ أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا سَعِيدٍ الْخُدْرِىَّ - رضى الله عنه - قَالَ كَانَ النَّبِىُّ - صلى الله عليه وسلم - يَقُولُ « إِذَا وُضِعَتِ الْجِنَازَةُ فَاحْتَمَلَهَا الرِّجَالُ عَلَى أَعْنَاقِهِمْ ، فَإِنْ كَانَتْ صَالِحَةً قَالَتْ قَدِّمُونِى . وَإِنْ كَانَتْ غَيْرَ صَالِحَةٍ قَالَتْ لأَهْلِهَا يَا وَيْلَهَا أَيْنَ يَذْهَبُونَ بِهَا يَسْمَعُ صَوْتَهَا كُلُّ شَىْءٍ إِلاَّ الإِنْسَانَ ، وَلَوْ سَمِعَ الإِنْسَانُ لَصَعِقَ » .

Tarjama:Hazrat Abu Saeed Khudri radhi allaho anho se riwayat hai ki Nabi kareem ﷺ irshaad farmya karte the ki: jab janaza rakha jaata hai aur log use apni gardano para uthaate hain toh agr marne wala nek hota hai toh kehta hai “ Mujhe aage badhao, Mujhe aage badhao” aur agar nek nahi hota hain to apne ghar walon se kehta hai “Hi barbaadi! Mujhe kaha lejaa rhe ho?” Uski awaaz ko insaan ke elawah har chiz sunti hai aur insaan sun le toh behosh hojae.[Sahi Bukhari, Hadith No.1361]

عَنْ قَتَادَةَ عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « إِنَّ الْمَيِّتَ إِذَا وُضِعَ فِى قَبْرِهِ إِنَّهُ لَيَسْمَعُ خَفْقَ نِعَالِهِمْ إِذَا انْصَرَفُوا ».

Tarjama: Hazrat Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki: Rasool-e-Akram ﷺ ne irshaad farmaya ki: Beshak jab maiyat ko uski qabr me rakh diya jaata hai, phir jab log palat kar jaane lagte hain toh woh unke jooton ki dhamak ki awaz ko sunta hai. [Sahih Muslim,Hadith No.2870.Sahi Bukhari,Hadith No. 1338]

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- تَرَكَ قَتْلَى بَدْرٍ ثَلاَثًا ثُمَّ أَتَاهُمْ فَقَامَ عَلَيْهِمْ فَنَادَاهُمْ فَقَالَ « يَا أَبَا جَهْلِ بْنَ هِشَامٍ يَا أُمَيَّةَ بْنَ خَلَفٍ يَا عُتْبَةَ بْنَ رَبِيعَةَ يَا شَيْبَةَ بْنَ رَبِيعَةَ أَلَيْسَ قَدْ وَجَدْتُمْ مَا وَعَدَ رَبُّكُمْ حَقًّا فَإِنِّى قَدْ وَجَدْتُ مَا وَعَدَنِى رَبِّى حَقًّا ». فَسَمِعَ عُمَرُ قَوْلَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ كَيْفَ يَسْمَعُوا وَأَنَّى يُجِيبُوا وَقَدْ جَيَّفُوا قَالَ « وَالَّذِى نَفْسِى بِيَدِهِ مَا أَنْتُمْ بِأَسْمَعَ لِمَا أَقُولُ مِنْهُمْ وَلَكِنَّهُمْ لاَ يَقْدِرُونَ أَنْ يُجِيبُوا ». ثُمَّ أَمَرَ بِهِمْ فَسُحِبُوا فَأُلْقُوا فِى قَلِيبِ بَدْرٍ.

Tarajama: Hazrat Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki: Beshak Rasoolallah ﷺ badr me qatl kiye gaye (kuffaron ki laashon) ko teen din tak chhode rakha, phir unke paas tashrif laaye aur khade hokar unko awaz dete hue kaha ki: Aye Abu Jahl bin Heshaam! Aye Umiyaan bin Khalf! Aye Utba bin Rabiya! Aye Shaiba bin Rabiya ! kiya tum logon ne usko nahi paa liya jo tum se tumhare rab ne sachcha wada kiya tha? Beshak maine toh usko paa liya jo mujh se mere Rab ne sachcha wada farmaya tha. Hazrat Umar radhi allaho anho ne Huzoor ﷺ ki baat suni toh unhone arz kiya ki: Ya Rasoolallah ﷺ! Woh log kaise sunyenge aur kaise jawab denge jab ki woh murda laash ho chuke hain toh Huzur-e-Akramﷺ ne farmaya: qasam hain us zaat ki jiske qabz-o-qudrat mein meri jaan hain! Jo main unse keh rha hoon tum unse zyada sunne wale nahi ho lekin unke paas itni taqat nahi hai ki woh jawab dein. Phir Huzoor ne hukm diya toh un sab ko badr ke kuwe mein daal diya gaya. [Sahih Muslim,Hadith No. 2874]

عَنْ ابْنِ شِمَاسَةَ الْمَهْرِيِّ قَالَ حَضَرْنَا عَمْرَو بْنَ الْعَاصِ وَهُوَ فِي سِيَاقَةِ الْمَوْتِ (فساق الحدیث الی ان قال) فَإِذَا أَنَا مُتُّ فَلَا تَصْحَبْنِي نَائِحَةٌ وَلَا نَارٌ فَإِذَا دَفَنْتُمُونِي فَشُنُّوا عَلَيَّ التُّرَابَ شَنًّا ثُمَّ أَقِيمُوا حَوْلَ قَبْرِي قَدْرَ مَا تُنْحَرُ جَزُورٌ وَيُقْسَمُ لَحْمُهَا حَتَّى أَسْتَأْنِسَ بِكُمْ وَأَنْظُرَ مَاذَا أُرَاجِعُ بِهِ رُسُلَ رَبِّي.

Tarjama:Hazrat Simasa Al-Muhri bayan karte hain ki: Hum log Hazrat Umar bin Aas radhi allaho anho ke paas unke akhiri waqt mein hazir hue toh unhone apne beton se kaha ki: Jab tumlog mujhe dafna dena aur qabr par mitti daal dena toh phir meri qabr ke paas itni der tak ruke rahna jitni der mein ek oont (Camale) ko zabah karke uska gosht taqseem kardiya jaata hai, taake main tumse sukoon haasil karoon aur dekhoon ki main apne Rab ke farishton ko kiya jawab deta hoon. [Sahih Muslim,Hadith No.121]

أَنَّ عُقْبَةَ بْنَ عَامِرٍ ، قَالَ : مَا أُبَالِي فِي الْقُبُورِ قَضَيْت حَاجَتِي ، أَوْ فِي السُّوقِ وَالنَّاسُ يَنْظُرُونَ.

Tarjama: Hazrat Uqba bin Aamir radhi Allaho anho se marwi hai ki unhone kaha:Main barabar jaanta hun ki main Qabristan me qazaa-e-hajat ke liye baithun ya bazaar me ki log dekhte rahe.(Yani murde bhi dekhte hain jaise zindah dekhta hai.).[Musannaf ibne Abi shaiba,Hadees No.11903]

عَنْ مُغِيرَةَ ، عَنْ إبْرَاهِيمَ ، عَنِ ابْنِ مَسْعُودٍ ، قَالَ : أَذَى الْمُؤْمِنِ فِي مَوْتِهِ كَأَذَاهُ فِي حَيَاتِهِ.

Tarjama:Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho se marwi hai ki:Unhone kaha:Momin ko marne ke baad takleef dena aise hi hai jaise uski zindagi me takleef dena.[Musannaf Ibne Abi Shaiba,Hadees No.12115]

عَنْ أَبِى أَيُّوبَ - رضى الله عنهم - قَالَ خَرَجَ النَّبِىُّ - صلى الله عليه وسلم - وَقَدْ وَجَبَتِ الشَّمْسُ ، فَسَمِعَ صَوْتًا فَقَالَ « يَهُودُ تُعَذَّبُ فِى قُبُورِهَا »

Tarjama: Hazrat Abu Ayub Ansari radhi allaho anho bayan karte hain ki suraj doobne ke baad Nabi kareem ﷺ nikle to ek awaaz suni, to Aap ﷺ ne irshaad farmaya ki: Ye un yahoodi ki awaaz hai jinhe unki qabr me azaab diya jaa raha hai.[Sahih Bukhari, kitabul janaiz,Hadith No.1375.Sahi Muslim,Hadith No.2869]

عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرٍو قَالَ : إِنَّ الدُّنْيَا جَنَّةُ الْكَافِرِ وَسِجْنُ الْمُؤْمِنِ ، وَإِنَّمَا مَثَلُ الْمُؤْمِنِ حِينَ تَخْرُجُ نَفْسُهُ كَمَثَلِ رَجُلٍ كَانَ فِي سِجْنٍ ، فَخَرَجَ مِنْهُ فَجَعَلَ يَتَقَلَّبُ فِي الأَرْضِ ، وَيَتَفَسَّحُ فِيهَا ۔ و لفظ ابی بکر ھکذا: الدُّنْيَا سِجْنُ الْمُؤْمِنِ وَجَنَّةُ الْكَافِرِ ، فَإِذَا مَاتَ الْمُؤْمِنُ يُخْلَى سربه , يَسْرَحُ حَيْثُ شَاءَ.

Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin amar bin Aas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki:Beshak dunya kaafiro ke liye jannat hai aur musalmano ke liye Qaid khaana hai.Jab imaan walo ki jaan nikal jaati hai to uski misaal aisi hai jaise koi shakhs Qiad khaane me tha aur ab use nikaal diya gaya ki woh zameen me jahan chaahe ghome.(Musannaf Ibn-e-Abi shaiba mein ye alfaz aae hain ki.) Dunya musalmano ka Qaid khaana hai aur kaafiro ki jannat,To jab musalman marta hai to uska raasta khol diya jaata hai ki jahan chaahe ghome.(Kitabuz zuhad,Li ibn-e-Mubarak,Hadis No.597.Musannaf Ibn-e-Abi Shaiba,Hadis No.35867)

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ : أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : إِنَّ الْمَيِّتَ يَعْرِفُ مَنْ يَحْمِلُهُ وَمَنْ يُغَسِّلُهُ ، وَمَنْ يُدَلِّيهِ فِي قَبْرِهِ .

Tarjama:Hazrat-e-Abu Sa’eed Khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki:Beshak murda use pahchanta hai jo us ko gusal deta hai aur jo use uthaata hai aur jo use kafan pahnaata aur qabar me utaarta hai.(Musnad-e-Imam Ahmad,Hadis No.11010)

عن ام المومنین عائشۃ رضی اللہ عنھا قالت:کنت ادخل بیتی الذی فیہ رسول اللہ ﷺ وانی واضع ثوبی واقول انما ھو زوجی و ابی ،فلما دفن عمر ،فواللہ ما دخلتہ الا و انا مشدودۃ علی ثیابی حیاء من عمر۔

Tarjama:Ummul momenin Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki main us kamre me jahan huzur ka rauza Mubarak hai aise hi chali jaati aur parde ka khaas ehtemaam nahi karti thi kyunki main sochti thi ki yahan par kaun hai,Mere shauhar aur mere walid.Phir jab us kamre mein hazrat-e-Umar radhi allaho anho ko dafan kiya gaya.To Allah ki Qasam! Main Hazrat-e-Umar se sharam karte hue kabhi bhi pure taur par parda kiye begair us jagah par nahi gayi.(Mishkaat sharif,Page No.154)
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran