Namaz-e-Vitr



عَنْ أَبِي أَيُّوبَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : الْوِتْرُ حَقٌّ

Tarjama:Hazrat-e-Abu Ayyob Ansari radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Vitr wajib hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.1132)

ْعَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقُولُ « الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ لَمْ يُوتِرْ فَلَيْسَ مِنَّا الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ لَمْ يُوتِرْ فَلَيْسَ مِنَّا الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ لَمْ يُوتِرْ فَلَيْسَ مِنَّا ».

Tarjama: Hazrat-e-Abdullah bin Burida radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Vitr wajib hai.To jo shakhs vitr nahi padhe woh ham me se nahi hai. (Abu Dawood,Hadis No.1419.Al-Mustadrak,Hadis No.1146)

عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ جَدِّهِ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صلى الله عليه وسلم : إِنَّ اللَّهَ زَادَكُمْ صَلاَةً إِلَى صَلاَتِكُمْ ، وَهِيَ الْوِتْرُ.

Tarajama:Hazrat-e-Amar bin Shuaib radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Beshak Allah Ta’ala ne tumhari namazo me ek aur namaaz ko badha diya hai.Aur woh vitr ki namaaz hai.(Musannaf Ibne Abi shaiba,Hadis No.6929)

عَنْ أَبِى سَعِيدٍ الْخُدْرِىِّ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « مَنْ نَامَ عَنِ الْوِتْرِ أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّ إِذَا ذَكَرَ وَإِذَا اسْتَيْقَظَ ».

Tarjama:Hazrat-e-Abu Sa’eed Khudri radhi radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jo shakhs vitr padhe begair so jaae ya padhna bhol jaae to jab yaad aae ya jab jaage to padh le.(Tirmizi,Hadis No.465)

حَدَّثَنَا ابْنُ عُيَيْنَةَ ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ بْنِ مَيْسَرَةَ ، عَنْ مُجَاهِدٍ ، قَالَ : هُوَ وَاجِبٌ ، وَلَم يُكْتَبُ.

Tarjama: Hazrat-e-Mujahid radhi allaho anho bayan karte hain ki:Vitr wajib hai farz nahi.(Musannaf ibn-e-Abi Shaiba,Hadis No.6931)

عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ : كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُوتِرُ بِثَلاَثٍ لاَ يُسَلِّمُ إِلاَّ فِي آخِرِهِنَّ وَهَذَا وِتْرُ أَمِيرِ الْمُؤْمِنِينَ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ وَعَنْهُ أَخَذَهُ أَهْلُ الْمَدِينَةِ.

Tarjama:Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anh bayan karti hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam 3 rik’at vitr ki namaaz padhte the aur aakheri rik’at me salaam pherte the.Aur isi tarah Hazrat-e-Umar radhi allaho anho bhi vitr padhte the aur yahi Madina ke rahne walo ka bhi tariqa hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.1140)

عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ جُرَيْجٍ قَالَ سَأَلْنَا عَائِشَةَ بِأَىِّ شَىْءٍ كَانَ يُوتِرُ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَتْ كَانَ يَقْرَأُ فِى الأُولَى بِ (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى) وَفِى الثَّانِيَةِ بِ (قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ) وَفِى الثَّالِثَةِ بِ (قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ) وَالْمُعَوِّذَتَيْنِ.

Tarjama: Hazrat-e-Abdul Aziz bin Juraij kahte hain ki ham ne Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha se puchha ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam vitr ki namaaz me kaun kaun si surah tilaawat farmate the? To unho ne kaha ki:Pahli rik’at me “Surah Aala” aur dusari rik’at me “Surah Kaafiroon” aur tisari me “Surah Ikhlaas aur Qul Auzu bi rabbil falaq aur Qul Auzu bi rabbin naas” padha karte the.(Tirmizi,Hadis No.463)

عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقْرَأُ فِى الْوَتْرِ بِ (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى) وَفِى الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ بِ (قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ) وَفِى الثَّالِثَةِ بِ (قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ) وَلاَ يُسَلِّمُ إِلاَّ فِى آخِرِهِنَّ وَيَقُولُ يَعْنِى بَعْدَ التَّسْلِيمِ « سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ ». ثَلاَثًا.

Tarjama:Hazrat-e-Ubai bin Ka’ab radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam vitr ki Pahli rik’at me “Surah Aala” aur dusari rik’at me “Surah Kaafiroon” aur tisari me “Surah Ikhlaas” padha karte the.Aur aakheri rik’at ke baad hi salaam pherte the.Aur phir 3 martaba “Subhanal malikul Quddoos” padhte the.(Sunan Nasa’ee,Hadis No.1017)

عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ , قَالَ: " الْوِتْرُ ثَلَاثٌ , كَوِتْرِ النَّهَارِ , صَلَاةِ الْمَغْرِبِ " .

Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ne farmaya ki:Vitr ki namaaz 3 rik’at hai magrib ki namaaz ki tarah.(Sharah Ma’aanil aasaar,Hadis No.1744)
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran