Namaz Chhor Dene Ki Muzammat



عَنْ جَابِرٍ رضی الله عنه، قَالَ: سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم يَقُولُ: إِنَّ بَيْنَ الرَّجُلِ وَبَيْنَ الشِّرْکِ وَالْکُفْرِ تَرْکَ الصَّلَاةِ

Tarjama: Hazrat Jaabir radhi Allaho anho riwayat karte hain ki main ne Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ko ye farmaate hue suna: Beshak insaan aur (uske) kufr aur shirk ke darmiyan (farq) namaz ka chhor dena hai.[Sahih Muslim,Hadees No.82]

عَنْ عَبْدِ اﷲِ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: اَلْعَهْدُ الَّذِي بَيْنَنَا وَبَيْنَهُمُ الصَّلَاةُ، فَمَنْ تَرَکَهَا فَقَدْ کَفَرَ

Tarjama: Hazrat Abdullah bin Buraida apne walid se riwayat karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Hamare aur un (kafiro) ke darmiyan ahad (Zamanat) namaz hi hai,Jis ne use chhora usne kufr kiya(yani kafiro jaisa amal kiya). [Tirmizi,Hadees No.2621]

عَبْدِ اﷲِ بْنِ شَقِيقٍ الْعُقَيْلِيِّ قَالَ: کَانَ أَصْحَابُ مُحَمَّدٍ صلی الله عليه وآله وسلم لَا يَرَوْنَ شَيْئًا مِنَ الْأَعْمَالِ تَرْکُهُ کُفْرٌ غَيْرَ الصَّلَاةِ

Tarajama: Hazrat Abdullah bin Shaqiq farmate hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ke ashaab namaz ke elawah kisi dusre amal ke chhor dene ko kufr nahi samajhte the.[Tirmizi,Hadees No.2622]

عَنْ انسُ رضی الله عنه: قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: مَنْ تَرَکَ الصَّلَاةَ مُتَعَمِّدًا فَقَدْ کَفَرَ جِهَارًا

Tarjama:Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho se riwayat hai ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: jis ne jaan bujh kar namaz chhor diya (woh aisa hai jaise usne) khullam khulla kufr kiya.[Al-mo’jamul ausat,Hadees No.3348]

عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ رضی الله عنه، قَالَ: أَوْصَانِي خَلِیلِي صلی الله عليه وآله وسلم: أَنْ لَا تُشْرِکْ بِاﷲِ شَيْئًا وَإِنْ قُطِّعْتَ وَحُرِّقْتَ، وَلَا تَتْرُکْ صَلَاةً مَکْتُوبَةً مُتَعَمِّدًا، فَمَنْ تَرَکَهَا مُتَعَمِّدًا فَقَدْ بَرِئَتْ مِنْهُ الذِّمَّةُ، وَلَا تَشْرَبِ الْخَمْرَ، فَإِنَّهَا مِفْتَاحُ کُلِّ شَرٍّ.

Tarjama: Hazrat Abu Darda radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Mujhe mere khaleel Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne wasiyat farmaya ki: Tum Allah ke saath kisi ko shareek na thehraana agarche tumhare tukre tukre kar diye jaae aur tujhe jala diya jaae.Aur jaan bujh kar koi farz namaz na chhorna kyunki jo jaan bujh kar namaz chhorta hai,us se Allah taaka ka zimma khatam ho jaata hai.Aur sharaab na pina kyunki sharaab tamam buraaiyo ki kunji hai. [Ibn-e-Majah,Hadees No.4034]

عَنْ عِكْرِمَةَ : أَنَّ ابْنَ عَبَّاسٍ لَمَّا سَقَطَ فِى عَيْنَيْهِ الْمَاءُ أَرَادَ أَنْ يُخْرِجَهُ مِنْ عَيْنَيْهِ ، فَقِيلَ لَهُ : إِنَّكَ تَسْتَلْقِى سَبْعَةَ أَيَّامٍ لاَ تُصَلِّى إِلاَّ مُسْتَلْقِيًا. قَالَ : فَكَرِهَ ذَلِكَ وَقَالَ : إِنَّهُ بَلَغَنِى أَنَّهُ مَنْ تَرَكَ الصَّلاَةَ وَهُوَ يَسْتَطِيعُ أَنْ يُصَلِّىَ لَقِىَ اللَّهَ تَعَالَى وَهُوَ عَلَيْهِ غَضْبَانُ.

Tarjama:Hazrat ikrama bayan karte hain ki jab hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma ki aankho me “Motiya-bind” hui to unho ne operation karaane ka iraada kiya,To un se kaha gaya ki aap 7 din tak let kar rahenge aur namaz bhi let kar hi ada karna hoga.To unhone ise na-pasand kiya aur farmaya ki:Mujh tak ye baat pahunchi hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam jis ne namaz ada karne ki taaqat rakhte hue bhi chhor di woh Allah Ta’ala se is haalat me milega ki Allah us se na-raaz hoga.[Sunanul kubra,baihaqi,Hadees No.3835]

عن عبد الله بن عمرو عن النبي صلى الله عليه و سلم : أنه ذكر الصَّلَاةَ يَوْمًا فَقَالَ: " مَنْ حَافَظَ عَلَيْهَا كَانَتْ لَهُ نُورًا وَبُرْهَانًا وَنَجَاةً يَوْمَ الْقِيَامَةِ، وَمَنْ لَمْ يُحَافِظْ عَلَيْهَا لَمْ تَكُنْ لَهُ نُورًا وَلَا بُرْهَانًا وَلَا نَجَاةً، وَكَانَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مَعَ فِرْعَوْنَ، وَقَارُونَ، وَهَامَانَ، وأبي بن خلف

Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma bayan karte hain ki:Ek din Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne namaz ka zikr kiya to irshad farmaya: Jis ne uski pabandi ki uske liye qayamat ke din noor,burhaan aur nijaat hogi.Aur jis ne uski pabandi nahi ki to uske liye nahi noor hoga nahi burhaan aur nijaat.Woh qayamat ke din Fir’aun,Qaroon,Hamaan aur ubai bin khalf ke saath hoga.[ Musnad-e-Ahmad,Hadees No.6575]

عَنْ عِكْرِمَةَ، عَنْ عُمَرَ، قَالَ: جَاءَ رَجُلٌ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللهِ أَيُّ شَيْءٍ أَحَبُّ عِنْدَ اللهِ فِي الْإِسْلَامِ ؟ قَالَ: " الصَّلَاةُ لِوَقْتِهَا، وَمَنْ تَرَكَ الصَّلَاةَ فَلَا دِينَ لَهُ، وَالصَّلَاةُ عِمَادُ الدِّينِ

Tarjama:Hazrat Umar radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Ek shakhs aaya aur arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Islam me Allah ke nazdik sab se mehboob kaunsi chiz hai? Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Waqt par namaz ada karna,Aur jis ne namaz chhor diya to uska koi deen nahi aur namaz deen ka sutoon hai.[Sho’bul iman,Hadees No.2550]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran