عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : إِنَّمَا جُعِلَ الإِمَامُ لِيُؤْتَمَّ بِهِ ، فَإِذَا كَبَّرَ فَكَبِّرُوا ، وَإِذَا قَرَأَ فَأَنْصِتُوا ، وَإِذَا قَالَ : {غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلاَ الضَّالِّينَ} ، فَقُولُوا : آمِينَ
Tarjama:Hazrat e Abu Huraira razi allahu ta’ala anho bayan karte hain ki: Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya:Imam isi liye banaya jaata hai ki uski pairwi ki jaae.To jab woh takbeer kahe to tum takbeer kaho aur jab woh qirat kare to tum khamosh raho.Aur jab woh “Gayril magdubi alaihim waladaaleen” kahe,To tum “Aamin” kaho. (Ibne Majah,Hadees No.846.Sahih Bukhari hadis No. 722. Sahih Muslim hadis No. 414)
عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « إِنَّمَا جُعِلَ الإِمَامُ لِيُؤْتَمَّ بِهِ فَإِذَا كَبَّرَ فَكَبِّرُوا وَإِذَا قَرَأَ فَأَنْصِتُوا وَإِذَا قَالَ سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ فَقُولُوا اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ ».
Tarjama: Hazrat e Abu Huraira razi allahu ta’ala anho se marwi hai: Raoolallah sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Imam isi liye banaya jaata hai ki uski pairwi ki jaae.To jab woh takbeer kahe to tum takbeer kaho,Aur jab woh qirat kare to tum khamosh raho aur jab ‘sam’i allahu liman hamidah’ kahe to tum ‘allahuma rabbana lakal hamd’ kaho.(Sunan e Nisa’ee hadis No. 921.922.)
عَنْ عِمْرَانَ بْنِ حُصَيْنٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَلَّى الظُّهْرَ فَجَعَلَ رَجُلٌ يَقْرَأُ خَلْفَهُ بِسَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى فَلَمَّا انْصَرَفَ قَالَ أَيُّكُمْ قَرَأَ أَوْ أَيُّكُمْ الْقَارِئُ فَقَالَ رَجُلٌ أَنَا فَقَالَ قَدْ ظَنَنْتُ أَنَّ بَعْضَكُمْ خَالَجَنِيهَا
Tarajama:Hazrat e Imran bin Husain razi allahu ta’ala anhu se marwi hai ke Allah ke Rasool sallallahu alaihe wasallam ne namaz e zohar padhaa’ee to ek shakhs ne Aap ke pichhe ek surah ki tilawat ki, jab huzur sallallahu alaihe wasallam namaz se faarig hue to puchha: Tum me se kisne qirat kiya? To ek shaks ne kaha: maine, To Aap sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: Mujhe maloom ho gaya ke tum me se koi mujh se (padhne me) jhagda kar raha hai. (Sahih Muslim, hadis No.398.Sahih ibne Hibban,Hadees No.1845.Sunan Daar Qutni,Hadees No.1227. 1235.Baihaqi Al-kubra,Hadees No.2733.Nisaayi Al-kubra,Hadees No.989.990)
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صلى الله عليه وسلم انْصَرَفَ مِنْ صَلاَةٍ جَهَرَ فِيهَا بِالْقِرَاءَةِ فَقَالَ : هَلْ قَرَأَ مَعِيَ أَحَدٌ مِنْكُمْ آنِفًا ؟ فَقَالَ رَجُلٌ : نَعَمْ ، يَا رَسُولَ اللهِ ، قَالَ : إِنِّي أَقُولُ مَالِي أُنَازَعُ الْقُرْآنَ ؟ قَالَ : فَانْتَهَى النَّاسُ عَنِ الْقِرَاءَةِ مَعَ رَسُولِ اللهِ صلى الله عليه وسلم فِيمَا جَهَرَ فِيهِ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم بِالْقِرَاءَةِ مِنَ الصَّلَوَاتِ حِينَ سَمِعُوا ذَلِكَ مِنْ رَسُولِ اللهِ صلى الله عليه وسلم.
Tarjama:Hazrat e Abu Huraira razi allahu ta’ala anho bayan karte hain ki: Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam aisi namaz se faarig hue jisme qirat zor se ki jaati hai,to farmaya: kya abhi tum me se kisi ne mere pichhe qirat ki?Ek shakhs ne kaha: Haan, Ya Rasoolallah sallallahu alihe wasallam! App sallallahu alihe wasallam ne farmaya:Beshak maine kaha ki kya baat hai ki mere saath quran me jhagra kiya jaa raha hai?Rawi ne kaha:jab ye baat Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam se logo ne suni to unhone huzur sallallahu alaihe wasallam ke saath jehri namazo me qirat karna chhor diya. (Abu dawood hadis No. 826. Sunan e Baihaqi alkubra, hadis No.2716,2720.Sunan e Nisai al kubra hadis No.991.Sahi ibne Hibban,hadis No.1863.Mota imam Mohammad, hadis No,111)
عَنْ جَابِرٍ ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ، قَالَ : كُلُّ مَنْ كَانَ لَهُ إمَامٌ ، فَقِرَاءَتُهُ لَهُ قِرَاءَةٌ.
Tarjama: Hazrat Jaabir radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jis ke liye imam ho,To imam ki qiraat muqtadi ki bhi qiraat hai.(Yani muqtadi ko padhne ki zarurat nahi). [Musannaf ibne abi Shaiba,Hadees No.3800,3823.Sunan Dar-Qutni,Hadees No.1264.1253.1238.1233]
عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ أَنَّ رَجُلاً قَرَأَ خَلْفَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- فِى الظُّهْرِ وَالْعَصْرِ فَأَوْمَأَ إِلَيْهِ رَجُلٌ فَنَهَاهُ فَلَمَّا انْصَرَفَ قَالَ أَتَنْهَانِى أَنْ أَقْرَأَ خَلْفَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- فَتَذَاكَرَا ذَلِكَ حَتَّى سَمِعَ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « مَنْ صَلَّى خَلْفَ الإِمَامِ فَإِنَّ قِرَاءَتَهُ لَهُ قِرَاءَةٌ ».[اللفظ لدار قطنی]
عن جابر بن عبد الله عن النبي صلى الله عليه و سلم : أنه صلى وكان من خلفه يقرأ فجعل رجل من أصحاب النبي صلى الله عليه و سلم ينهاه عن القراءة في الصلاة فلما انصرف أقبل عليه الرجل فقال أتنهاني عن القراءة خلف رسول الله صلى الله عليه و سلم فتنازعا حتى ذكرا ذلك للنبي صلى الله عليه و سلم فقال النبي صلى الله عليه و سلم من صلى خلف الإمام فإن قراءة الإمام له قراءة[اللفظ للبیھقی]
Tarjama:Hazrat e Jabir bin Abdullah razi allahu ta’ala anho se marwi hai ki: Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ne namaz padhaa’ee to ek shakhs jo aap ke pichhe tha, qirat kiya,To Huzur sallallahu alaihe wasallam ke ashaab me se ek sahabi use namaz me qirat karne se mana karne lage. Jab woh shakhs namaz se faarig howa to us sahabi e Rasool sallallahu alaihe wasallam ki taraf motawajjah howa, aur kaha:kya Aap mujhe Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ke pichhe qirat karne se mana karte hain. Phir un dono me bahas chhir gayi yaha tak ke uska zikr huzur sallallahu alaihe wasallam se kiya gaya to Aap sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: Jo imam ke pichhe namaz padhe to beshak imam ki qirat hi uski qirat hai.( Sunan Daar-e-Qutni, hadis No.1219.1234, Sunan baihaqi, hadis No. 2722, Motta imam Mohammad, hadis No.125)
عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « كُلُّ صَلاَةٍ لاَ يُقْرَأُ فِيهَا بِأُمِّ الْكِتَابِ فَهِىَ خِدَاجٌ إِلاَّ أَنْ يَكُونَ وَرَاءَ إِمَامٍ ».ُ
Tarjama:Hazrate Jabir bin Abdullah razi allahu anho bayan karte hai ki: Nabi kareem sallallahu alaihe wasallam ne irhad farmay:woh namaz jisme surah fatiha nahi padhi jaati hai woh naaqis(Yani adhuri) hoti hai.Haan! magar ye ke woh jab imam ke pichhe ho.(Sunan Daar-e-Qutni, hadis No.1226. 1241)
عَنْ عَلِىٍّ قَالَ قَالَ رَجُلٌ لِلنَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- أَقْرَأُ خَلْفَ الإِمَامِ أَوْ أُنْصِتُ قَالَ « بَلْ أَنْصِتْ فَإِنَّهُ يَكْفِيكَ ».
Tarjama:Hazrat e Ali razi allahu ta’ala anho ne bayan kiya ki:Ek shakhs ne Huzur Nabi e kareem sallallahu alaihe wasallam se puchha ki: Main imam ke pichhe qirat karon ya khamosh rahon?To Huzur sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:khamosh raho,unki qirat tumhe kaafi hai.(Sunan Daar Qutni hadis No.1248.1233)
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « يَكْفِيكَ قِرَاءَةُ الإِمَامِ خَافَتَ أَوْ جَهَرَ ».
Tarjama:Hazrat e Abdullah bin Abbas razi allahu ta’ala anho ne bayan kiya ki: Huzur sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya: Tumko imam ki qirat kaafi hai,sirri namaz ho ya zehri.(Sunan Daar-e-Qutni,hadis No.1237. 1202,1266)
عن عبد الرحمن بن زيد بن أسلم عن أبيه قال نهى رسول الله صلى الله عليه و سلم عن القراءة خلف الإمام، قال وأخبرني أشياخنا أن عليا قال من قرأ خلف الإمام فلا صلاة له قال وأخبرني موسى بن عقبة أن رسول الله صلى الله عليه و سلم وأبو بكر وعمر وعثمان كانوا ينهون عن القراءة خلف الإمام
Tarjama:Hazrat Abdur-Rahman bin Zaid bin Aslam radhi Allaho anho se riwayat hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne imam ke pichhe qiraat karne se mana farmaya. Hazrat Abdur-Rahman bin Zaid bin Aslam kahte hain ki mujhe mere ustaado ne bataaya ki:Hazrat Ali radhi Allaho anho ne farmaya ki:Jis ne imam ki pichhe qiraat kiya uski namaz nahi hogi. Aur kahte hain ki mujhe khabar diya Hazrat Musa bin Uqba radhi Allaho anho ne ki: Beshak Huzur Sallallaho alaihe wasallam,Hazrat Abu Bakar,Hazrat Umar aur Hazrat Usman radhi allaho anhum imam ke pichhe qiraat karne se mana farmaya karte the.[Musannaf Abdur-razzaq,Hadees No.2810]
عَنْ أَبِى نُعَيْمٍ وَهْبِ بْنِ كَيْسَانَ أَنَّهُ سَمِعَ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ يَقُولُ مَنْ صَلَّى رَكْعَةً لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَلَمْ يُصَلِّ إِلاَّ أَنْ يَكُونَ وَرَاءَ الإِمَامِ.قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.ُ
Tarjama:Hazrat e Abu Nu’aim wahab bin kaisaan se riwayat hai ki unhone Jabir bin Abdullah razi allahu ta’ala anhu ko ye farmate hue suna ki:jisne namaz padhi aur usme surah fatiha nahi padhi to goya usne namaz hi nahi padhi. Haan,magar jab ki woh imam ke pichhe ho(yani jab imam ke pichhe ho to usko padhne ki zarurat nahi).(Tirmizi, hadis No.313)
عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ أَنَّهُ أَخْبَرَهُ أَنَّهُ سَأَلَ زَيْدَ بْنَ ثَابِتٍ عَنْ الْقِرَاءَةِ مَعَ الْإِمَامِ فَقَالَ لَا قِرَاءَةَ مَعَ الْإِمَامِ فِي شَيْءٍ
Tarjama:Hazrat Ata bin yasaar se riwayat hai ki unhone Hazrat Zaid bin Saabit se imam ke saath Qiraat karne ke baare me puchha,To unhone farmaya ki:Imam ke saath kisi chiz me qiraat nahi hai.[Sahih Muslim,Kitabul-Masaajid,Baab Sujudut-tilawat,Hadees No.577]
عَنْ أَبِي بِجَادٍ ، عَنْ سَعْدٍ ، قَالَ : وَدِدْت أَنَّ الَّذِي يَقْرَأُ خَلْفَ الإِمَامِ فِي فِيهِ جَمْرَةٌ.ُ
Tarjama:Hazrat e Abu Bijad se marwi hai ke:Hazrat e Sa’ad razi allahu ta’ala anho ne kaha:Meri khaahish hai ki jo log imam ke pichhe qirat karte hain unke muh me aag ka angaara ho.(Musannaf ibne abi shaiba, hadis No.3803, Motta imam Mohammad, hadis No.126)
عَنِ ابْنِ ثَوْبَانَ ، عَنْ زَيْدِ بْنِ ثَابِتٍ ، قَالَ : لاَ تَقْرَأْ خَلْفَ الإِمَامِ إِنْ جَهَرَ ، وَلاَ إِنْ خَافَتَ.
Tarjama:Hazrat e Saubaan se marwi hai ke:hazrat e zaid bin sabit razi allahu ta’ala anho ne kaha: imam ke piche qirat nahi karo,imam zor se qirat kare ya ahiste.(Musannaf ibne abi shaiba, hadis No. 3808)
عَنْ مُوسَى بْنِ سَعْدٍ ، عَنْ زَيْدِ بْنِ ثَابِتٍ ، قَالَ : مَنْ قَرَأَ خَلْفَ الإِمَامِ فَلاَ صَلاَةَ لَهُ.
Tarjama:Hazrat e Musa bin Sa’ad razi allahu ta’ala anho se marwi hai ke: hazrat e zaid bin sabit razi allahu ta’ala anho ne farmaya:jisne imam ke pichhe qirat kiya. uski namaz hi nahi hui.(Musannaf abdur razzaq,hadis No.2802, Musannaf ibne abi shaiba hadis No. 3809, Motta imam Mohammad, hadis No.128)
عَنْ نَافِعٍ أَنَّ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ عُمَرَكَانَ إِذَا سُئِلَ هَلْ يَقْرَأُ أَحَدٌ خَلْفَ الْإِمَامِ قَالَ إِذَا صَلَّى أَحَدُكُمْ خَلْفَ الْإِمَامِ فَحَسْبُهُ قِرَاءَةُ الْإِمَامِ وَإِذَا صَلَّى وَحْدَهُ فَلْيَقْرَأٍْ
Tarjama:Hazrat-e-Naafe bayan karte hain ki Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho se jab sawal kiya gaya ki:Kiya koi imam ke pichhe qirat kare? To Aap ne farmaya ki jab tum me se koi imam ke pichhe namaaz padhe to us ko imam ki Qirat kaafi hai aur jab akele padhe to woh qirat kare.(Motta imam malik,Hadis No.284)
عن محمد بن عجلان قال قال علي من قرأ مع الإمام فليس على الفطرة قال وقال بن مسعود ملىء فوه ترابا قال وقال عمر بن الخطاب وددت أن الذي يقرأ خلف الإمام في فيه حجر
Tarjama:Mohammad bin Ajlaan se riwayat hai ki Hazrat Ali radhi Allaho anho ne farmaya:Jo shakhs imam ke saath qiraat kare woh fitrat(yani sunnat)par nahi.Aur Hazrat Abdullah bin Mas’ood ne kaha ki:Kaash!Uska munh mitti se bhar diya jaata.Aur Hazrat-e-Umar e farooque razi allahu ta’ala anho ne kaha: Meri ye khahish hai ki jo shaks imam ke pichhe qirat kare uske muh me path-thar ho.(take qirat na kar sake).(Musannaf Abdur Razzaq,hadis No.2806)
عن عبيد الله بن مقسم قال سألت جابر بن عبد الله أتقرأ خلف الإمام في الظهر والعصر شيئا فقال لا
Tarjama:Hazrat Ubaidullah bin Maqsim kahte hain ki:Main ne Hazrat Jaabir bin Abdullah radhi Allaho anho se puchha ki: Kya Aap Zohar aur Asar me imam ke pichhe Qiraat karte hain? Farmaya ki Nahi.[Musannaf Abdur-razzaq,Hadees No.2819]
عن علقمة بن قيس : أن عبد الله بن مسعود كان لا يقرأ خلف الإمام فيما جهر فيه وفيما يخافت فيهُ
Tarjama:Hazrat e Alqama bin Qais razi allahu ta’ala anho se riwayat hai ke hazrat e Abdullah bin Mas’ood razi allahu ta’ala anho jehri(jinme awaz ke sath qirat hoti hai) aur sirri (jisme qirat ahiste hoti hai)dono tarah ki namazon mei imam ke pichhe qirat nahi karte the(Motta imam Mohammad, hadis No.96)
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat