عَنْ أَبِى أُمَامَةَ قَالَ قِيلَ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَىُّ الدُّعَاءِ أَسْمَعُ قَالَ : جَوْفُ اللَّيْلِ الآخِرُ وَدُبُرَ الصَّلَوَاتِ الْمَكْتُوبَاتِ .
Tarjama:Hazrat-e-Abu Umama radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam se puchha gaya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Kis waqt ki dua ziyadah suni jaati hai? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Raat ke aakheri hisse me ki gaee dua aur farz namaazo ke baad (ki gaee dua jald qubool hoti hai.) (Tirmizi,Hadis No.3499)
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « أَتَانِى اللَّيْلَةَ رَبِّى تَبَارَكَ وَتَعَالَى فِى أَحْسَنِ صُورَةٍ قَالَ أَحْسَبُهُ قَالَ فِى الْمَنَامِ[حدیث طویل ومنھا] وَقَالَ يَا مُحَمَّدُ إِذَا صَلَّيْتَ فَقُلِ اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ فِعْلَ الْخَيْرَاتِ وَتَرْكَ الْمُنْكَرَاتِ وَحُبَّ الْمَسَاكِينِ وَإِذَا أَرَدْتَ بِعِبَادِكَ فِتْنَةً فَاقْبِضْنِى إِلَيْكَ غَيْرَ مَفْتُونٍ.
Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Mere Rab ne mujhe ye hukm diya ki:Aye Muhammad!Jab aap namaaz ada kar len to is tarah se dua maange.Aye Allah!Main tujh se achhchhe kaamo ko apnaane aur bure kaamo ko chhodne aur miskino se muhabbat karne ka sawal karta hon.Aur jab to apne bando ko aazmaane ka irada kare to tu mujhe us se pahle hi apne paas bula le.(Tirmizi,Hadis No.3233)
عَنِ الصُّنَابِحِيّ ، عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ ، أَنَّ رَسُولَ صَلَّى عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَخَذَ بِيَدِهِ ، وَقَالَ : يَا مُعَاذُ ، وَاللَّهِ إِنِّي لأُحِبُّكَ ، وَاللَّهِ إِنِّي لأُحِبُّكَ ، فَقَالَ : أُوصِيكَ يَا مُعَاذُ لاَ تَدَعَنَّ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلاَةٍ تَقُولُ : اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ ، وَشُكْرِكَ ، وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ، وَأَوْصَى بِذَلِكَ مُعَاذٌ الصُّنَابِحِيَّ ، وَأَوْصَى بِهِ الصُّنَابِحِيُّ أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ
Tarajama:Hazrat-e-Ma’aaz bin Jabal radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ek din un ka haath pakar kar farmaya ki:Aye Ma’aaz!Main tum se mohabbat karta hun.Hazrat-e-Ma’aaz radhi allaho anho ne arz kiya Ya Rasoolallah!Mere maa baap aap par qurbaan ho jaae main bhi aap se mohabbat karta hun.Phir Aap ﷺ ne farmaya ki Aye Ma’aaz main tumhen nasihat karta hun ki har namaaz ke baad ye dua maangna hargiz nahi bholna.(Dua ye hai) Aye Allah! Apne zikr,Shukr aur achhchhi tarah ibaadat ki adaaegi me meri madad farma.(Abu Dawood,Hadis No.1522)
ًحَدَّثَنَا عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ عُمَيْرٍ سَمِعْتُ عَمْرَو بْنَ مَيْمُونٍ الأَوْدِىَّ قَالَ كَانَ سَعْدٌ يُعَلِّمُ بَنِيهِ هَؤُلاَءِ الْكَلِمَاتِ كَمَا يُعَلِّمُ الْمُعَلِّمُ الْغِلْمَانَ الْكِتَابَةَ ، وَيَقُولُ إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ - صلى الله عليه وسلم - كَانَ يَتَعَوَّذُ مِنْهُنَّ دُبُرَ الصَّلاَةِ: اللَّهُمَّ إِنِّى أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ ، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ .
Tarjama:Hazrat-e-Amar bin maimun radhi allaho anho bayan karte hain ki Hazrat-e-Sa’ad apne beto ko in kalimaat (Dua) ko aise sikhaate the jaise ustaaz bachcho ko likhna sikhaata hai.Aur woh kahte ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam har namaaz ke baad is tarah se Allah ki panaah maanga karte the.Aye Allah!Main buz dili se teri panaah chaahta hun aur main teri panaah chaahta hun is baat se ki zillat ki zindagi ki taraf lauta diya jaaon.Aur main teri panaah chaahta hun dunya ke fitne se aur qabar ke azaab se.(Sahih Bukhari,Hadis No.2822)
عَنْ وَرَّادٍ مَوْلَى الْمُغِيرَةِ بْنِ شُعْبَةَ قَالَ كَتَبَ الْمُغِيرَةُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بْنِ أَبِى سُفْيَانَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ - صلى الله عليه وسلم - كَانَ يَقُولُ فِى دُبُرِ كُلِّ صَلاَةٍ إِذَا سَلَّمَ : لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ ، وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ ، وَلَهُ الْحَمْدُ ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ ، اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ ، وَلاَ مُعْطِىَ لِمَا مَنَعْتَ ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ .
Tarjama: Hazrat-e-Mugirah bin Shuba radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ har namaaz ke baad jab salaam pherte to is tarah se dua karte.Nahi hai koi mabood,Allah ke elawah.Woh ek hai us ka koi sharik nahi.Usi ke liye baadshahi hai aur usi ke liye tamaam taarife hain.Aur woh har chiz par qaadir hai.Aye Allah! Jise to de use koi rokne wala nahi aur jise to roke use koi dene wala nahi aur kisi daulat wale ko tere muqaable me daulat faaida nahi degi.(Sahih Bukhari,Hadis No.6330.Sahih Muslim, Hadis No.593)
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ الأَنْصَارِيِّ ، قَالَ : مَا صَلَّيْتُ وَرَاءَ نَبِيِّكُمْ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِلاَّ سَمِعْتُهُ حِينَ يَنْصَرِفُ مِنْ صَلاَتِهِ يَقُولُ : اللَّهُمُ اغْفِرْ لِي أَخْطَائِي وَذُنُوبِي كُلَّهَا أَنْعِمْنِي وَأَحْيِينِي وَارْزُقْنِي ، وَاهْدِنِي لِصَالِحِ الأَعْمَالِ وَالأَخْلاَقِ ، فَإِنَّهُ لاَ يَهْدِي لِصَالِحِهَا إِلاَّ أَنْتَ ، وَلاَ يَصْرِفُ عَنْ سَيِّئِهَا إِلاَّ أَنْتَ.
Tarjama:Hazrat-e-Abu Ayyob Ansaari radhi allaho anho bayan karte hain ki:Jab bhi main ne Huzur ﷺ ke pichhe namaaz padha to dekha ki Aap ﷺ namaaz se faarig hote to ye dua karte.Aye Allah meri tamaam khataao aur gunaho ko bakhsh de.Aye mere Allah! Mujhe apni ibaadat aur ita’at ke liye hamesha taro taaza rakh.Aur mujhe apni aazmaa’ish se mahfuz rakh aur mujhe nek kaamo aur akhlaaq ki rahnumaai ata farma.Beshak nek kaamo aur achhchhe akhlaaq ki hidayat tere elawah koi nahi deta.Aur bure kaamo aur akhlaaqo se tere elawah koi nahi bachata.(Al-Mustadrak,Hadis No.5942)
ًعن أبي المحجل عن بن أخي أنس بن مالك عن أنس بن مالك قال كان مقامي بين كتفي رسول الله صلى الله عليه و سلم فكان إذا سلم قال اللهم اجعل خير عمري آخره اللهم اجعل خواتيم عملي رضوانك اللهم اجعل خير أيامي يوم ألقاك[المعجم الاوسط،جزء ۹،من اسمہ الھیثم،حدیث:۹۴۱۱]
Tarjama:Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki main namaaz me thik Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke pichhe khada hota tha,To jab Aap ﷺ salaam pherte to is tarah dua maangte.Aye mere Allah!Meri umar ka aakheri hissa behtarin bana de.Aye mere Allah!Mere aamaal ka khaatima apni riza par kar.Aye mere Allah!Mere dino me behtarin din us ko bana jis din main tujh se mulaqaat karon.(Al-Mo’jamul ausat,Hadis No.9411)
عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ رضى الله عنه قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم-: مَنْ لَمْ يَسْأَلِ اللَّهَ يَغْضَبْ عَلَيْهِ .
Tarjama:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs Allah Ta’ala se dua nahi maangta Allah Ta’ala us se naa-raaz hota hai.(Tirmizi,Hadis No.3373)
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat