حدیث: عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : مَنْ يُرِدِ اللَّهُ بِهِ خَيْرًا يُفَقِّهْهُ فِى الدِّينِ.
Tarjama:Hazrat Ibne Abbas radhi allahu anhuma se riwayat hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne irshad farmaya: Allah Ta’ala jiske saath bhalaai ka irada farmata hai use deen ki samajh ata farmata hai. [Tirmizi, Hadees: 2857]
حدیث: أخبرنا بشر بن ثابت البزار ثنا نصر بن القاسم عن محمد بن إسماعيل عن عمرو بن كثير عن الحسن قال قال رسول الله صلى الله عليه و سلم : من جاءه الموت وهو يطلب العلم ليحيي به الإسلام فبينه وبين النبيين درجة واحدة في الجنة .
Tarjama:Hazrat Hasan radhi allahu anhu se riwayat hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: Jis shakhs ko is haalat me maut aayi ki woh ilm haasil kar raha tha taaki woh uske zariye islam ko zinda kare to uske aur ambiya-e-kiram ke darmiyan jannat me sirf ek darje ka farq hoga. [Sunan Daarmi, Hadees: 354]
حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- مَنْ سَلَكَ طَرِيقًا يَلْتَمِسُ فِيهِ عِلْمًا سَهَّلَ اللَّهُ لَهُ طَرِيقًا إِلَى الْجَنَّةِ.
Tarajama:Sayyedina Abu Huraira radhi allahu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jo ilm haasil karne ki khaatir kisi raaste par chalta hai to Allah taala uske liye jannat ki taraf jaane wale raaste par chalna asaan farma deta hai. [Tirmizi, Hadees: 2858]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ سَخْبَرَةَ عَنْ سَخْبَرَةَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : مَنْ طَلَبَ الْعِلْمَ كَانَ كَفَّارَةً لِمَا مَضَى.
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Sakhbara radhi allahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jisne ilm haasil kiya, to woh uske pichhle tamaam gunahon ke liye kaffara ho jata hai. [Tirmizi, Hadees: 2860]
حدیث: عن علي قال قال رسول الله صلى الله عليه و سلم ما انتعل عبد قط ولا تخفف ولا لبس ثوبا ليغدو في طلب علم إلا غفر الله له ذنوبه حيث يخطو عتبة بابه.
Tarjama: Hazrat Maula Ali radhi allahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jo banda ilm-e-deen ki talaash me jute, moze ya kapda pehenta hai to apne ghar ki chaukhat se nikalte hi uske gunah maaf kar diye jaate hain. [Al-mo’jamul Ausat, Hadess: 5722]
حدیث: عَنْ أَبِي أُمَامَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : مَنْ غَدَا إِلَى الْمَسْجِدِ لاَ يُرِيدُ إِلاَّ لِيَتَعَلَّمَ خَيْرًا أَوْ يَعْلَمَهُ كَانَ لَهُ أَجْرُ مُعْتَمِرٍ تَامِّ الْعُمْرَةِ ، فَمَنْ رَاحَ إِلَى الْمَسْجِدِ لاَ يُرِيدُ إِلاَّ لِيَتَعَلَّمَ خَيْرًا أَوْ يُعَلِّمَهُ فَلَهُ أَجْرُ حَاجٍّ تَامِّ الْحِجَّةِ .
Tarjama:Hazrat Abu Umama radhi allahu anhu se riwayat hai ki Rasoole Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jo shakhs subah masjid ko aaya sirf is niyat se ke bhalaai seekhega to use mukammal umre ka sawab diya jaaega. Aur jo shakhs shaam ko masjid sirf bhalaai seekhne ya sikhaane ki niyat se aaega to use mukammal haj ka sawab diya jaaega. [Almustadrak lil Hakim, Hadees: 311]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرٍو ، قَالَ : خَرَجَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ ذَاتَ يَوْمٍ مِنْ بَعْضِ حُجَرِهِ ، فَدَخَلَ الْمَسْجِدَ ، فَإِذَا هُوَ بِحَلْقَتَيْنِ ، إِحْدَاهُمَا يَقْرَؤُونَ الْقُرْآنَ ، وَيَدْعُونَ اللَّهَ ، وَالأُخْرَى يَتَعَلَّمُونَ وَيُعَلِّمُونَ ، فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : كُلٌّ عَلَى خَيْرٍ ، هَؤُلاَءِ يَقْرَؤُونَ الْقُرْآنَ ، وَيَدْعُونَ اللَّهَ ، فَإِنْ شَاءَ أَعْطَاهُمْ ، وَإِنْ شَاءَ مَنَعَهُمْ ، وَهَؤُلاَءِ يَتَعَلَّمُونَ وَيُعَلِّمُونَ ، وَإِنَّمَا بُعِثْتُ مُعَلِّمًا , فَجَلَسَ مَعَهُمْ.
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi allahu anhuma se riwayat hai ki ek din Rasoole Kareem ﷺ apne kamre se nikal kar masjid me tashreef laae, to logo ki do jama’at dekha. Unme se ek jama’at ke log Quran majeed ki tilawat kar rahe the aur Allah taala se dua kar rahe the. Dusri jamaat ke log ilm seekh aur sikha rahe the, to Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya: Sabhi log bhalayi par hain. Ye log Quran ki tilawat kar rahe hain aur Allah Ta’ala se dua kar rahe hain, to agar Allah Taala chahe to inko ata farmaae ya nahi farmaae. Aur ye log ilm seekh aur sikha rahe hain aur beshak main sikhaane wala bana kar bheja gaya hun, phir Aap ﷺ unhi logo ke saath baith gae. [Ibne Maajah, Hadees: 229]
حدیث: عَنْ قَيْسِ بْنِ كَثِيرٍ قَالَ قَدِمَ رَجُلٌ مِنَ الْمَدِينَةِ عَلَى أَبِى الدَّرْدَاءِ وَهُوَ بِدِمَشْقَ فَقَالَ مَا أَقْدَمَكَ يَا أَخِى فَقَالَ حَدِيثٌ بَلَغَنِى أَنَّكَ تُحَدِّثُهُ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ أَمَا جِئْتَ لِحَاجَةٍ قَالَ لاَ. قَالَ أَمَا قَدِمْتَ لِتِجَارَةٍ قَالَ لاَ. قَالَ مَا جِئْتَ إِلاَّ فِى طَلَبِ هَذَا الْحَدِيثِ قَالَ فَإِنِّى سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقُولُ « مَنْ سَلَكَ طَرِيقًا يَبْتَغِى فِيهِ عِلْمًا سَلَكَ اللَّهُ بِهِ طَرِيقًا إِلَى الْجَنَّةِ وَإِنَّ الْمَلاَئِكَةَ لَتَضَعُ أَجْنِحَتَهَا رِضًا لِطَالِبِ الْعِلْمِ وَإِنَّ الْعَالِمَ لَيَسْتَغْفِرُ لَهُ مَنْ فِى السَّمَوَاتِ وَمَنْ فِى الأَرْضِ حَتَّى الْحِيتَانُ فِى الْمَاءِ وَفَضْلُ الْعَالِمِ عَلَى الْعَابِدِ كَفَضْلِ الْقَمَرِ عَلَى سَائِرِ الْكَوَاكِبِ إِنَّ الْعُلَمَاءَ وَرَثَةُ الأَنْبِيَاءِ إِنَّ الأَنْبِيَاءَ لَمْ يُوَرِّثُوا دِينَارًا وَلاَ دِرْهَمًا إِنَّمَا وَرَّثُوا الْعِلْمَ فَمَنْ أَخَذَ بِهِ أَخَذَ بِحَظٍّ وَافِرٍ ».
Tarjama: Hazrat-e-Qais bin Kaseer kehte hain ki ek shakhs Madina sharif se Sayyedina Abu Dardaa radhi allahu anhu ke paas Damishq aaya. Hazrat Abu Dardaa radhi allahu anhu ne us se kaha: Mere bhai tumhe yahan kya cheez le kar aayi hai. Usne kaha: Mujhe ye baat maloom hui hai ki Aap Rasoolullah ﷺ se ek hadees bayan karte hain.(main usi hadees ko haasil karne aaya hun) Hazrat Abu Dardaa ne kaha: Kya tum kisi aur zarurat se to nahi aae ho? Usne kaha: Nahi. Unhone kaha: Kya tum tijarat ke maqsad se to nahi aae ho? Usne kaha: Nahi. Main to sirf us hadees ki talab aur talash me aaya hun. Hazrat Abu Dardaa ne kaha: (Achha to suno) Maine Rasoolallah ﷺ ko farmate hue suna: Jo shakhs ilme deen ki talash me kisi raaste par chale, to Allah taala uske zariye use jannat ke raaste par laga deta hai. Beshak farishte talibe ilm ki khushi ke liye apne par bichha dete hain. Aur aalim ke liye aasmaano zamen ki saari makhlooq magfirat talab karti hain, yahan tak ki paani ke andar ki machhliyan bhi. Aur aalim ki fazilat aabid par aisi hi hai jaise chand ki fazilat saare sitaron par. Beshak ulama ambiya ke waris hain aur ambiya ne kisi ko deenar o darham ka waris nahi banaya, balki unhone ilm ka waris banaya hai. Isliye jisne is ilm ko haasil kar liya, usne (ilme nabawi aur wirasate nabawi se) pura pura hissa liya. [Tirmizi, Hadees: 2898]
حدیث: عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ يَقُولُ : مَنْ جَاءَ مَسْجِدِي هَذَا ، لَمْ يَأْتِهِ إِلاَّ لِخَيْرٍ يَتَعَلَّمُهُ أَوْ يُعَلِّمُهُ ، فَهُوَ بِمَنْزِلَةِ الْمُجَاهِدِ فِي سَبِيلِ اللهِ ، وَمَنْ جَاءَ لِغَيْرِ ذَلِكَ ، فَهُوَ بِمَنْزِلَةِ الرَّجُلِ يَنْظُرُ إِلَى مَتَاعِ غَيْرِهِ.
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allahu anhu kehte hain ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jo shakhs meri is masjid me sirf kahir (ilme deen) seekhne ya sikhane ke liye aae to woh Allah taala ke raaste me jihad karne waale ke darje me hai. Aur jo uske elawah kisi aur maqsad ke liye aae to woh us shakhs ke darje me hai jiski nazar dusro ke saamaan par lagi hoti hai. [Ibne Maaja, Hadees: 227]
حدیث: عَنْ أَبِي أُمَامَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : عَلَيْكُمْ بِهَذَا الْعِلْمِ قَبْلَ أَنْ يُقْبَضَ ، وَقَبْضُهُ أَنْ يُرْفَعَ , وَجَمَعَ بَيْنَ إِصْبَعَيْهِ الْوُسْطَى وَالَّتِي تَلِي الإِبْهَامَ هَكَذَا , ثُمَّ قَالَ : الْعَالِمُ وَالْمُتَعَلِّمُ شَرِيكَانِ فِي الأَجْرِ ، وَلاَ خَيْرَ فِي سَائِرِ النَّاسِ بَعْدُ.
Tarjama:Hazrat Abu Umama radhi allahu anhu kehte hain ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Tum is ilme deen ko usko qabz kiye jaane se pehle haasil karlo, aur uska qabz kiya jaana ye hai ke use utha liya jaae. Phir aapne beech waali aur shahadat ki ungli dono ko milaya, aur farmaya: Aalim aur mutallim (seekhne aur sikhane waale) dono sawab me shareek hain, aur baaqi logo me koi khair nahi hai. [Ibne Maaja, Hadees: 228]
حدیث: عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: " مَنْ غَدَا يُرِيدُ الْعِلْمَ يَتَعَلَّمُهُ لِلَّهِ فَتَحَ اللهُ لَهُ بَابًا إِلَى الْجَنَّةِ، وَفَرَشَتْ لَهُ الْمَلَائِكَةُ أَكْتافَهَا، وَصَلَّتْ عَلَيْهِ مَلَائِكَةُ السَّمَوَاتِ وَحِيتَانُ الْبَحْرِ، وَلِلْعَالِمِ مِنَ الْفَضْلِ عَلَى الْعَابِدِ كَالْقَمَرِ لَيْلَةَ الْبَدْرِ عَلَى أَصْغَرِ كَوْكَبٍ فِي السَّمَاءِ.
Tarjama:Hazrat Abu Dardaa radhi allahu anhu kehte hain ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jo subah ke waqt Allah ke liye ilm haasil karne jaata hai, to Allah taala uske liye jannat ka darwaza khol deta hai aur farishte uske liye apne par bichha dete hain aur aasmaan ke farishte aur samundar ki machhliyan uske liye rehmat ki dua karti hain. Aur aalime deen ki fazilat aabid par aise hi hai jaise chaudhwi raat ke chaand ki aasmaan me sab se chhote sitare par. [Sho’bul imaan, Hadees: 1576]
حدیث: عن الحسن، أن أبا الدرداء قال: كن عالمًا أو متعلمًا أو محبًّا أو متبعًا، ولا تكن الخامس فتهلك.
Tarjama:Hazrat Hasan se riwayat hai ki Hazrat Abu Dardaa radhi allahu anhu ne farmaya: Aalim bano ya ilm haasil karne wala bano ya aalim se mohabbat karne wala bano ya unki baat maan ne waala bano aur tum 5wa na banna nahi to halaak ho jaoge.[ Jame Bayanul Ilm wa fazla, Hadees: 105]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat