Roza Chhorne Ki Muzammat



عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : مَنْ أَفْطَرَ يَوْمًا مِنْ رَمَضَانَ مِنْ غَيْرِ رُخْصَةٍ، وَلَا مَرَضٍ لَمْ يَقْضِ عَنْهُ صَوْمُ الدَّهْرِ كُلِّهِ، وَإِنْ صَامَهُ

Tarjama:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jis ne Ramzan me ek din ka roza begair kisi majburi ke chhor diya,To us ke badle agar woh zindagi bhar bhi roza rakhe tab bhi uski bhar-paai nahi hogi.(Yani use woh sawab nahi milega jo us din Ramzan me rakhne se milta.) [Tirmizi,Hadis No.723]

عَنْ عَلِيِّ بْنِ الْحُسَيْنِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَجُلاً أَفْطَرَ فِي شَهْرِ رَمَضَانَ فَأَتَى أَبَا هُرَيْرَةَ فَقَالَ‏:‏ لاَ يُقْبَل منه صَوْمُ سنة

Tarjama:Hazrat Ali bin Husain radhi Allaho anhuma farmate hain ki: Ek shakhs ne Ramzan me (din me) khaa liya,Phir hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho ke paas aaya to Aap ne farmaya ki: Iske saal bhar ke roze qabool nahi honge/Ek saal ke roze is chhote hue roze ki jagah nahi le sakte.[ Sunanul kubra nisaayi, Hadees No.3271]

أبوأُمَامَةَ، قَالَ‏:‏ سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ‏:‏ بَيْنَا أَنَا نَائِمٌ إِذْ أَتَانِي رَجُلاَنِ فَأَخَذَا بِضَبْعَيَّ وَسَاقَ الْحَدِيثَ، وَفِيهِ قَالَ‏:‏، ثُمَّ انْطَلَقَا بِي فَإِذَا قَوْمٌ مُعَلَّقُونَ بِعَرَاقِيبِهِمْ، مُشَقَّقَةٌ أَشْدَاقُهُمْ تَسِيلُ أَشْدَاقُهُمْ دَمًا، قُلْتُ‏:‏ مَنْ هَؤُلاَءِ‏؟‏ قَالَ‏:‏ هَؤُلاَءِ الَّذِينَ يُفْطِرُونَ قَبْلَ تَحِلَّةِ صَوْمِهِمْ

Tarajama:Hazrat Abu umama radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: (main soya hua tha,Mere paas do aadmi aaye aur unho ne mujhe mere baazu se pakar liya…ye ek lambi hadees hai,usi me ye bhi hai ki) Woh mujhe ek aisi qaum ke paas le gaye jinko unki eriyo ke bal latkaaya gaya tha,unki jabre cheer di gayi thi aur un se khoon bah raha tha,Main ne kaha:Ye kaun hain? To unho ne kaha: ye log iftaar ka waqt hone se pahle roza iftaar karne wale log hain.[Marne ke baad ye aise shakhs ki saza hai jis ne roza to rakha,Lekin waqt se pahle hi iftaar kar liya.To us shakhs ka kya haal hoga jis ne roza bilkul rakha hi nahi.[Sunanul kubra nisaayi,Hadees No.3273]

عَنْ أَنَسٍ رضی الله عنه قَالَ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ ﷲِ صلی الله علیه وآله وسلم یَقُوْلُ: هَذَا رَمَضَانُ قَدْ جَاءَ تُفْتَحُ فِیْهِ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ وَتُغْلَقُ أَبْوَابُ النَّارِ وَتُغَلُّ فِیْهِ الشَّیَاطِیْنُ. بُعْدًا لِمَنْ أَدْرَکَ رَمَضَانَ فَلَمْ یُغْفَرْ لَهُ إِذَا لَمْ یُغْفَرْلَهُ فِیْهِ فَمَتَی؟

Tarjama:Hazrat Anas radhi Allaho anho kahte hain ki main ne Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ko farmaate hue suna: Ramzan ka baa-barkat mahina aa gaya hai.Isme jannat ke darwaze khol diye jaate hain aur jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain.Is me shaitaano ko qaid kar diya jaata hai. Woh shakhs bada hi kam-naseeb hai jis ne Ramzan ka mahina paaya lekin uski bakhshish nahi hui.Agar uski is magfirat ke mahine me bhi bakhshish nahi hui to phir kab hogi?.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.8871]

عَنْ کَعْبِ بْنِ عُجْرَةَ رضی الله عنه قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ ﷲِ صلی الله علیه وآله وسلم: احْضُرُوْا الْمِنْبَرَ فَحَضَرْنَا. فَلَمَّا ارْتَقَی دَرَجَةَ قَالَ: آمِیْنَ فَلَمَّا ارْتَقَی الدَّرْجَةَ الثَّانِیَةَ، قَالَ: آمِیْنَ فَلَمَّا ارْتَقَی الدَّرْجَةَ الثَّالِثةَ قَالَ: آمِیْنَ فَلَمَّا نَزَلَ، قُلْنَا: یَا رَسُوْلَ ﷲِ، سَمِعْنَا مِنْکَ الْیَوْمَ شَیْئًا مَا کُنَّا نَسْمَعُهُ، قَالَ: إِنَّ جِبْرِیْلَ عَرَضَ لِي فَقَالَ: بُعْدًا لِمَنْ أَدْرَکَ رَمَضَانَ فَلَمْ یُغْفَرْ لَهُ قُلْتُ آمِیْنَ. فَلَمَّا رَقِیْتُ الثَّانِیَّةَ قَالَ: بُعْدًا لِمَنْ ذُکِرْتَ عِنْدَهُ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَیْکَ، قُلْتُ: آمِیْنَ، فَلَمَّا رَقِیْتُ الثَّالِثَةَ، قَالَ: بُعْدًا لِمَنْ أَدْرَکَ أَبَوَاهُ الْکِبَرَ عِنْدَهُ أَوْ أَحَدُهُمَا فَلَمْ یُدْخِلاَهُ الْجَنَّةَ. قُلْتُ: آمِیْنَ.

Tarjama: Hazrat Kaab bin Ajrah radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Mimber ke paas aa jaao,Ham log aa-gaye.Jab ek darja chadhe to farmaya “Aamin” jab dusara chadhe to farmaya “Aamin” aur jab tisara chadhe to farmaya “Aamin”.Jab utre to ham ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Ham ne Aaj Aap se ek aisi chiz suni hai jo pahle nahi suna karte the.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jibreel mere paas aaye aur kaha jise Ramzan mila lekin use bakhsha nahi gaya,Woh Allah ki rahmat se door ho.To main ne kaha “Aamin”Jab main dusre darje par chadha to unho ne kaha:Jis ke saamne Aap ka naam liya gaya aur usne darood nahi bheja,Woh bhi Allah ki rahmat se door ho.Main ne kaha “Aamin” jab main tisare darje par chadha to unho ne kaha:Jis shakhs ki zindagi me uske maa baap ya unme se ek bodha ho gaya aur woh unki khidmat kar ke jannat haasil nahi kiya,Woh bhi Allah ki rahmat se door ho.Main ne kaha “Aamin”.[Sunanul kubra baihaqi,Hadees No.8287]

عن جابر بن عبد الله قال‏:‏ قال رسول الله صلى الله عليه وسلم‏:‏ من أدرك رمضان ولم يصمه فقد شقي، ومن أدرك والديه أو أحدهما فلم يبره فقد شقي، ومن ذكرت عنده فلم يصلِّ علي فقد شقي‏.‏

Tarjama:Hazrat Jaabir bin Abdullah se riwayat hai ki Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jis ne Ramzan paaya aur usme roza nahi rakha woh bad-bakht hai.Aur jis ne apne maa baap ya un me se kisi ek ko paaya aur unki khidmat nahi ki woh bad-bakht hai.Aur jis ke paas mera zikr ho aur usne mujh par darood nahi padha who bad-bakht hai.[Majma-ul-Zawaayed,Hadees No.4773]

عن عبادة بن الصامت: أنَّ رسولَ اللهِ ﷺ قال يومًا وحضر رمضانُ أتاكم رمضانُ شهرُ بركةٍ يغشاكم اللهُ فيه فيُنزِلُ الرَّحمةَ ويحُطُّ الخطايا ويستجيبُ فيه الدُّعاءَ ينظرُ اللهُ تعالى إلى تنافُسِكم فيه ويُباهي بكم ملائكتَه فأروا اللهَ من أنفسِكم خيرًا فإنَّ الشَّقِيَّ من حُرم فيه رحمةَ اللهِ عزَّ وجلَّ

Tarjama: Hazrat Ubadah bin Saamit se riwayat hai ki Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne ek din farmaya.Us waqt Ramzan shuru ho chukka tha.Tumhare paas Ramzan ka mahina aaya hai,Is me Allah Ta’ala tumhe apni rahmat me dhaanp lega.Is mahine me rahmat naazil hogi.Allah Ta’ala tumhaare gunaah maaf kar dega.Aur is me dua qabool karega.Aur isme Allah Ta’ala tumhare badh chadh kar ibaadat karne ko dekhega aur apne farishto ke saamne tumhara fakhr se zikr karega.Is liye tum apni neki aur bhalaayi Allah ke saamne rakho,Kyunki is mahine me Allah ki rahmat se mahroom rahne wala bad-bakht hai.[Al-Mo’jamul Kabeer Tabraani,Hadees No.4783]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran