Sunnat Aur Nafli Namazo Ki Ta'daad,Fazilat Aur Ahmiyat



عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- مَنْ ثَابَرَ عَلَى ثِنْتَىْ عَشْرَةَ رَكْعَةً مِنَ السُّنَّةِ بَنَى اللَّهُ لَهُ بَيْتًا فِى الْجَنَّةِ أَرْبَعِ رَكَعَاتٍ قَبْلَ الظُّهْرِ وَرَكْعَتَيْنِ بَعْدَهَا وَرَكْعَتَيْنِ بَعْدَ الْمَغْرِبِ وَرَكْعَتَيْنِ بَعْدَ الْعِشَاءِ وَرَكْعَتَيْنِ قَبْلَ الْفَجْرِ .َ

Tarjama: Hazrat Aaisha siddiqa radhi Allaho anha se riwayat hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: jo shakhs hamesha 12 rik’at sunnat padhta rahega,Allah Ta’ala jannat me uske liye ek makaan banaayega,4 rik’at Zohar se pahle,2 zohar ke baad,2 rik’at magrib ke baad,2 rik’at isha ke baad aur 2 rik’at Fajar se pahle.[Tirmizi,Hadees No.414]

عَنْ عَائِشَةَعَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ رَكْعَتَا الْفَجْرِ خَيْرٌ مِنْ الدُّنْيَا وَمَا فِيهَا

Tarjama: Hazrat Aaisha siddiqa radhi Allaho anha se riwayat hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Fajar ki 2 rik’at (sunnat) dunya aur jo kuchh us me hai,Un tamam chizo se behtar hai.[Sahih Muslim,Hadees No.725]

عَنْ حَسَّانَ بْنِ عَطِيَّةَ قَالَ لَمَّا نُزِلَ بِعَنْبَسَةَ جَعَلَ يَتَضَوَّرُ فَقِيلَ لَهُ فَقَالَ أَمَا إِنِّى سَمِعْتُ أُمَّ حَبِيبَةَ زَوْجَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- تُحَدِّثُ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- أَنَّهُ قَالَ « مَنْ رَكَعَ أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ قَبْلَ الظُّهْرِ وَأَرْبَعًا بَعْدَهَا حَرَّمَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ لَحْمَهُ عَلَى النَّارِ ». فَمَا تَرَكْتُهُنَّ مُنْذُ سَمِعْتُهُنَّ.

Tarajama: Hazrat Hassan bin Atiyya se riwayat hai ki jab Hazrat Ambasa bin Abu sufyan ki maut ka waqt qareeb hua to woh tarapne lage.Un se kaha gaya (Yani unko tasalli di gayi) to unho ne farmaya: Maine Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki paak biwi Hazrat Umme Habiba radhi Allaho anha ko Nabi Sallallaho alaihe wasallam se ye bayan karte hue suna hai: Jis shakhs ne Zohar se pahle 4 rik’at aur Zohar ke baad 4 rik’at padhi,Allah Ta’ala uska gosht aag par haraam kar dega,Jab se main ne ye suna,Main ne in namazo ko kabhi nahi chhora. [Sunan Nisaai,Hadees No.1812]

عَنِ ابْنِ عُمَرَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : رَحِمَ اللَّهُ امْرَأً صَلَّى قَبْلَ الْعَصْرِ أَرْبَعًا .

Tarjama:Hazrat ibne Umar radhi Allaho anhuma se riwayat hai ki, Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Allah us bande par raham farmaaye jo Asar se pahle 4 rik’aat padhta hai.[Tirmizi,Hadees No.430]

ُعن عبد الله بن عمرو بن العاص قال ( جئت ورسول الله صلى الله عليه و سلم قاعد في أناس من أصحابه فيهم عمر بن الخطاب رضي الله عنه فأدركت آخر الحديث ورسول الله صلى الله عليه و سلم يقول من صلى أربع ركعات قبل العصر لم تمسه النار

Tarjama: Hazrat Abdullah bin Amar bin Aas radhi Allaho anho ne bayan kiya ki,Main aaya,Us waqt Allah ke rasool Sallallaho alaihe wasallam apne sahaaba ke darmiyan tashrif farma the, Un me Hazrat Umar radhi Allaho anho bhi the. Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jo shakhs Asar se pahle 4 rik’at namaz (pabandi se) padhe,Use jahannam ki aag nahi chhu-yegi. [ Al-Mo’jamul ausat,Hadees No.2580]

عن محمد بن عمار بن ياسر قال رأيت عمار بن ياسر صلى بعد المغرب ست ركعات فقلت يا ابه ما هذه الصلاة قال رأيت حبيبي رسول الله صلى الله عليه و سلم صلى بعد المغرب ست ركعات وقال من صلى بعد المغرب ست ركعات غفرت له ذنوبه وإن كانت مثل زبد البحر

Tarjama:Hazrat Mohammad bin Ammar bayan karte hain ki: Main ne Hazrat Ammar bin Yasir ko magrib ke baad 6 rik’aat padhte hue dekha,To main ne kaha: Aye walid-e-mohtaram! Ye kaunsi namaz hai? Unhone kaha ki:Main ne apne Habib Sallallaho alaihe wasallam ko magrib ke baad 6 rik’aat (do do kar ke) padhte hue dekha Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jis ne magrib ke baad 6 rik’aat padhi uske tamam gunaah bakhsh diye jaaenge,Agarche woh samandar ke jhaag ke barabar hi kyun na ho. [Al-Mo;jamul Ausat,Hadees No.7245]

عَنْ عَائِشَةَ - رضى الله عنها - قَالَ سَأَلْتُهَا عَنْ صَلاَةِ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- فَقَالَتْ مَا صَلَّى رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- الْعِشَاءَ قَطُّ فَدَخَلَ عَلَىَّ إِلاَّ صَلَّى أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ أَوْ سِتَّ رَكَعَاتٍ وَلَقَدْ مُطِرْنَا مَرَّةً بِاللَّيْلِ فَطَرَحْنَا لَهُ نِطْعًا فَكَأَنِّى أَنْظُرُ إِلَى ثُقْبٍ فِيهِ يَنْبُعُ الْمَاءُ مِنْهُ وَمَا رَأَيْتُهُ مُتَّقِيًا الأَرْضَ بِشَىْءٍ مِنْ ثِيَابِهِ قَطُّ.

Tarjama: Shuraih bin Haani,Hazrat Aaisha siddiqa radhi Allaho anha se riwayat karte hain ki: Main ne unse Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ki namaz ke baare me puchha.To unhone kaha ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam jab bhi Isha ki namaz padh kar mere yahan tashrif laate to 4 ya 6 rik’at padhte.Ek raat bearish ho gayi,Ham ne Aap ke chamra bichha diya,Goya main dekh rahi hun ki uske ek suraakh se paani nikal raha tha.Aur main ne Aap Sallallaho alaihe wasallam ko kabhi nahi dekha ki (namaz me) apne kapde ko mitti se bachaate hon.[Abu Dawood , Hadees No.1303]

عَنْ أَبِي سَلَمَةَ قَالَ سَأَلْتُ عَائِشَةَ عَنْ صَلَاةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَتْ كَانَ يُصَلِّي ثَلَاثَ عَشْرَةَ رَكْعَةً يُصَلِّي ثَمَانَ رَكَعَاتٍ ثُمَّ يُوتِرُ ثُمَّ يُصَلِّي رَكْعَتَيْنِ وَهُوَ جَالِسٌ فَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَرْكَعَ قَامَ فَرَكَعَ ثُمَّ يُصَلِّي رَكْعَتَيْنِ بَيْنَ النِّدَاءِ وَالْإِقَامَةِ مِنْ صَلَاةِ الصُّبْحِ

Tarjama:Hazrat Abu Salma se riwayat hai,Unhone kaha ki:Main ne Hazrat Aaisha Siddiqa radhi Allaho anha se Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam (ki raat ki namaz) ke baare me sawal kiya.To unhone kaha ki Aap Sallallaho alaihe wasallam 13 rik’aten padhte. (pahle tahajjud ki) 8 rik’aten padhte, phir vitr ki namaz padhte,Phir baithe hue do rik’at padhte,Phir jab ruku karna chaahte to uth khade hote aur ruku karte.Phir Fajar ki azaan aur takbeer ke darmiyan do rik’at padhte.( Aap Sallallaho alaihe wasallam kabhi isi tarteeb se raat ki namaz ada farmate) [Sahih Muslim,Hadees No.738]

عَنْ ثَوْبَانَ مَوْلَى رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ كُنَّا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- فِى سَفَرٍ فَقَالَ :إِنَّ السَّفَرَ جَهْدٌ وَثِقَلٌ فَإِذَا أَوْتَرَ أَحَدُكُمْ فَلْيَرْكَعْ رَكْعَتَيْنِ فَإِنِ اسْتَيْقَظَ وَإِلاَّ كَانَتَا لَهُ .

Tarjama: Hazrat Saubaan radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Ham ek martabah Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ke saath kisi safar me the,Aap ne farmaya ki ye safar bahut thaka dene wala aur bhaari hota hai,Jab tum me se koi vitr padhe to use chaahiye ki do rik’at uske baad padh le,Agar tahajjud ke liye jaag gaya to bahut achchha! Aur agar nahi uth saka to ye do rik’aat uske liye kaafi honge. [ Sunan Daar-Qutni,Hadees No.1700]

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ، قَالَ : كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ يَرْكَعُ قَبْلَ الْجُمُعَةِ أَرْبَعًا ، لاَ يَفْصِلُ فِي شَيْءٍ مِنْهُنَّ.ِ

Tarjama: Hazrat ibne Abbas radhi Allaho anhuma bayan karte hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam Juma se pahle 4 rik’aat namaz padhte the aur unke darmiyan fasl nahi karte the.[Yani ek saath 4 rik’aat ada farmate the.] [Ibne Majah,Hadees No.1129]

عَنْ جَبَلَةَ بْنِ سُحَيْمٍ عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عُمَرَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا " أَنَّهُ كَانَ يُصَلِّي قَبْلَ الْجُمُعَةِ أَرْبَعًا , لَا يَفْصِلُ بَيْنَهُنَّ بِسَلَامٍ , ثُمَّ بَعْدَ الْجُمُعَةِ رَكْعَتَيْنِ , ثُمَّ أَرْبَعًا "

Tarjama: Hazrat Jabalah bin Suhaim bayan karte hain ki Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma juma se pahle 4 rik’aat ek saath padhte the,Phir juma ke baad do ,phir chaar.[Sharah Maa’niyal Aasaar,Hadees No.1965]

عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِيِّ، قَالَ: " قَدِمَ عَلَيْنَا عَبْدُ اللهِ فَكَانَ يُصَلِّي بَعْدَ الْجُمُعَةِ أَرْبَعًا فَقَدِمَ بَعْدَهُ عَلِيٌّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ فَكَانَ إِذَا صَلَّى الْجُمُعَةَ صَلَّى بَعْدَهَا رَكْعَتَيْنِ وَأَرْبَعًا فَأَعْجَبَنَا فِعْلُ عَلِيٍّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ فَاخْتَرْنَاهُ " فَثَبَتَ بِمَا ذَكَرْنَا أَنَّ التَّطَوُّعَ الَّذِي لَا يَنْبَغِي تَرْكُهُ بَعْدَ الْجُمُعَةِ سِتٌّ , وَهُوَ قَوْلُ أَبِي يُوسُفَ رَحِمَهُ اللهُ إِلَّا أَنَّهُ قَالَ: أَحَبُّ إِلَيَّ أَنْ يُبْدَأَ بِالْأَرْبَعِ ثُمَّ يُثَنَّى بِالرَّكْعَتَيْنِ لِأَنَّهُ هُوَ أَبْعَدُ مِنْ أَنْ يَكُونَ قَدْ صَلَّى بَعْدَ الْجُمُعَةِ مِثْلَهَا عَلَى مَا قَدْ نُهِيَ عَنْهُ

Tarjama:Hazrat Abu Abdur rahman Sulami bayan karte hain ki: Ham logo ke yahan (Kofa me) Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho tashrif laae,To woh juma ke baad chaar rik’at padhte the.Phir unke baad Hazrat Ali radhi Allaho anho tashrif laae,Jab unhone juma ki namaz ada farmaya,to uske baad do rik’at aur chaar rik’at padha,To ham logo ko Hazrat Ali radhi Allaho anho ka ye amal achchha laga aur ham logo ne isi ko ekhtiyar kar liya. Is riwayat se saabit hua ki juma ke baad 6 rik’at namaz hain,Jin ko chhor dena munasib nahi hai.Aur yahi imam Abu Yousuf ka qaul hai.Magar imam Abu Yousuf kahte hain ki mujhe ziyadah pasand ye hai ki juma ke baad pahle chaar padhi jaae,phir do.Kyunki ye tariqa juma ke baad usi ki tarah do se door hai,jis se mana kiya gaya hai.[Sharah Maa’niyal Aasaar,Hadees No.1980]

عَنْ خَرَشَةَ بْنِ الْحُرِّ: " أَنَّ عُمَرَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ كَانَ يَكْرَهُ أَنْ يُصَلِّيَ بَعْدَ صَلَاةِ الْجُمُعَةِ مِثْلَهَا " قَالَ أَبُو جَعْفَرٍ: فَلِذَلِكَ اسْتَحَبَّ أَبُو يُوسُفَ رَحِمَهُ اللهُ أَنْ يُقَدِّمَ الْأَرْبَعَ قَبْلَ الرَّكْعَتَيْنِ لِأَنَّهُنَّ لَسْنَ مِثْلَ الرَّكْعَتَيْنِ فَكُرِهَ أَنْ يُقَدَّمَ الرَّكْعَتَانِ لِأَنَّهُمَا مِثْلُ الْجُمُعَةِ .

Tarjama:Hazrat kharasha bin Hurr bayan karte hain ki:Hazrat Umar radhi Allaho anho is baat ko na-pasand karte the ki juma ki namaz ke baad usi ki tarah do rik’at padhi jaae.Imam Abu Ja’far ne kaha ki isi ki wajah se imam Abu Yousuf ne behtar qaraar diya hai ki pahle 4 padhi jaae do rik’at se pahle.Kyunki ye chaar juma ki tarah do nahi hai.Aur makrooh qaraar diya gaya ki pahle do padhe kyunki ye juma ki misl hai.[Sharah Maa’niyal Aasaar,Hadees No.1981]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran